Gawahi na kisi ke haq mein hoti hai na kisi ke khilaaf ... gawahi toh gawahi hoti hai
Unknown
Apne maathe se paseena poch ... agar tere gande paseene ki ek boond bhi is dharti par gir gayi ... toh is dharti se anaaj ughna band ho jayega
Amjad Khan
Joh main dikhai deta hoon woh main nahi hoon ... aur joh hoon woh dikhai nahi deta
Anupam Kher
Tera shaq tujhe kha gaya ... ek chingari aag bani aur ek insaan jal gaya
Sanjeev Kumar
Farz ke aage main saathi, premika aur apni jaan tak kurbaan kar sakta hoon ... aur is waqt mera farz hai tumhari jaan lena
Mithun Chakraborty
Pyar ek bhavna hai jisse tola nahi jaa sakta
Sushmita Sen
Jab dil mein paap ka andhera ho ... toh koi bhi pooja, kaisi bhi prarthana ujaala nahi kar sakti
Rishi Kapoor
Yeh woh shehar hai jahan sasta khoon aur mehanga pani hai ... apni pyaas bhujane ka hai toh apne aasoon se bhuja ... aasoon pee aur jee
Ishrat Ali
Roop badal lene se badan ki boo nahi badalti
Ayub Khan
Taqat jism ki nahi hoti, taqat haddiyon ki nahi hoti ... taqat irradon ki hoti hai
Deepa Sahi
Paapi pet ka sawaal do dhari talwar hota hai ... joh dono taraf kaatta hai
Rajesh Khanna
Mohabbat ki chingari ko gusse ki phoonk maaro ... toh aaisi aag badhakti hai ki ghar ke ghar jal jaate hai, mahal toot ke bikhar jaate hai
Izzat ke moti insaan ki aankhon ke samundar ka woh sailaab hota hai ... joh aasoon bankar tapakta hai
Ek maa ke dil se nikli hui dua ... uske bete ko zameen se aasman ki bulandi tak pahuncha sakti hai ... aur ussi maa ke dil se nikli hui baddua ... tere in mahalon ko jalakar raakh bhi kar sakti hai
Aruna Irani
Shaq ka kaante bahut zeharilay hote hai ... joh do dilon ke beech dooriyan bhi pehda kar dete hai aur dushmani bhi
Danny Denzongpa
Gunde toh ungliyon par ginne ja sakte hai, phir bhi yeh gunde hum karodon par raj karte hai ... kyun? ... sirf is liye ki hum mein se har insaan yeh sochta hai ki woh akela kya kare ... woh yeh kyun nahi sochta ki hum sab milkar kya nahi kar sakte
Anil Kapoor
Humne gareebi mein sapne dekhe hai ... yeh sapno mein bhi gareebi nahi dekh sakegi
Is generation ke paas sawal bahut hai ... jawab koi nahi
Sunil Shetty
Kuch nasoor itne ghinaune hote hai ki aadmi unka dard toh seh sakta hai ... magar unhe kisi ko dikha nahi sakta
Aditya Pancholi
Ek din aayega main tere ghamand ke tukde tukde kar doonga ... aur teri zid ke bhi tukde tukde ho jayenge
Mohan Joshi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory