Mohabbat kis chiddiya ka naam hai, humein bhi batana ... bhor saver woh kabhi gungunaye, toh humein bhi sunana ... dikh jaye toh dikhana ... kisi roz kabhi aangan aaye, behla phuslake rok toh lenge ... mishri ki daaliyan apne haathon se uski chonch mein denge ... sikha denge usse hamara naam daurana ... seekh lenge bina parwah kiye udh jaana ... suna hai kaante pe dil khop gulaabon mein rakht bhar deta hai ... jaan dekar dil mein ghar kar leta hai ... neend chura churake, chain jodh jodhke, ek gharaunda banata hai, aahon ke jhule jhulata hai ... phir jab do din sau saal se guzarte hai hum patjhad se bhikarte hai ... woh pinjre mein band chhod, rooh ko todh marodh kisi aur chajje pe ek naya geet gaata hai ... dana tum daalo woh kisi aur ko phasata hai
Jaise maa apne bachon mein farak nahi karti ... aise police wala bhi apne badmasho mein farak nahi karte ... hum sabko ek hi aankh se dekhenge ... maa ki aankh se
Saare gabru toh sooiyan lagake tight hai madam ... ab ladies ko kuch karna padega na
Pehle banda ban jaa ... phir banna VIP
Maa behen ki izzat ki jaati hai ... na ke unke izzat ki maa behen
Ab India khelna hai ... India ke liye
Har taale ki ek chaabi hoti hai ... aur jiski chaabi nahi na hoti, uski hathodi hoti hai
Mujhe talash hai ek aisi pativrata ladki ki ... joh mummy ko kitchen mein ghusne na de aur pati ko bedroom mein se nikalne na de
Aapki toh twacha itni gori hai ke aapki mail se cream ban jayegi
Aap jaisi ladki ka haath lagna matlab ... ek kilo doodh mein se dus kilo paneer ka nikalna
Doodh phatne ka gham woh manata hai jisse paneer banana nahi aata
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory