Bina maqsad fight nahi karna ... aur agar maqsad mil jaye toh peeche nahi hatna
Mumbai nagariya, maya ki nagariya ... idhar har type ka aadmi milta hai ... aur har aadmi ka alag alag type se vaat lagta hai
Meri raftaar meri zindagi hai
Maut aankhon ke samne hoti hai na ... toh achchon achchon ki Gateway of India ho jaati hai
Sach ko sach karne ke liye do logon ki zaroorat padti hai ... ek joh sach bol sakta hai ... aur doosra joh sach sun sakta hai
Daag jaisa ho kameez pe, woh nikalta hai Nirma ya Rin se ... joh aaya hai karke mooh kala, woh nikalta hai dustbin se
I don't know woh kaun hai aur yeh sab kyun kar raha hai ... lekin ek baar uska pata chal jaye toh usse nafrat karne ki sahi wajah de doonga
Jitna talk time hai utna bol
Apne kaan ke saath saath apne shareer ke saare suraakh khol kar suno
Pritam Singh zinda rehne ka ek mauka sabko deta hai ... joh maan le toh theek, varna upar jaake rota hai
Mard log haath se ladte hai ... chaku se nahi
Gunday ka sirf ek hi ussool hota hai ... ki uska koi ussool nahi hota hai
Mann chahta hai ke is waqt kuch aisa ho jaye ... ki yeh duniya so jaye ... bas tum aur hum jage rahe ... aur uske baad yeh duniya hamesha soti rahe
Rishwat dene waale se zyada bada gunehgar rishwat lene waala hai
Main yahan karobaar karne behta hoon ... desh seva nahin
Jab cycle pe behto ho toh chalana padta hai pedal ... agar duniya mein aaye ho toh punya karo, ki fayda cheque aur medal
Jis din police aur fauj tum logon ki rakhail ban jayegi na ... us din yeh saara mulk ek randikhana ban jayega ... aur jaise chakle chalte hai na ... ussi tarah tum is desh ko bech daloge
Kahani mein twist ho na ... toh mazaa aata hai
Aajkal logon ko aisa accountant chahiye ... joh hisaab barabar bhi rakhe aur zaroorat aane par hisaab barabar bhi kar sake
Buzurgo ka aashirwad hi duniya ki sabse badi daulat hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory