Main apne area mein pehle gair kanooni dhande band karta hoon ... aur phir dhande karne waalon ko
Is jahaan mein aaye ho toh kuch aaisa karo kadardaan ... ke jis gali se guzro toh awaaz aaye, abbajaan abbajaan
Tere paas do options hai ... ya apne pairon pe chal ... ya mere kandhe par
Khamosh kyun hai zameen aasman ... kya curfew lag gaya hai meri jaan?
Naukar maalik par ehsaan nahi ... sirf namak ka farz ada karta hai
Honi ko kaun taal sakta hai ... joh hona hai wohi hoga ... bachche ke diaper jitne bhi badalo ... geela toh woh karega bichauna
Jaise kamino ki pechaan jail mein piste hue chakki ko hoti hai ... vaise apne jijo ki pehchaan Lakhwinder Singh Lakha urf Lucky ko hoti hai
Yeh ghar hai ya veerana ... na aadmi, na uski jaat ka thikana
Aadmi chahte hue bhi apna ateeth nahi badal sakta ... lekin apne aaj ko sudhar sakta hai ... apne kal ko badal sakta hai
Jiski nazar kamzor hoti hai ... uska zor kam hota hai
Isko toh electrician hona chahiye tha ... har baat pe fuse udhta hai saale ka
Apna aakhri shradh mana le ... kyun ki iske baad tere haath aur hathyar bhi kaam nahi aayenge
Ek second lagega tujhe maarne mein ... lekin nahi ... tujhe har din maarunga, har second maarunga
Na main teri tarah kisi ko supari doonga, na hi saboot mittaonga ... balki jis din main tum logon ke naam ke matke phodonga na ... us din is shehar ka bachcha bachcha bolega ... tapka re tapka ... ek aur tapka
Eent ka jawab patthar ... gudh ka jawab shakkar ... aur sajan ko sabak sikhana ho toh chalao dooja chakkar
Jab ghar pe ho sakta hai zukaam ka ilaaj toh kyun dhoonde kisi doctor ka address ... ki farak penda hai ki ilaaj kare Munnabhai ya M.B.B.S
Choona jamke padna chahiye, chahe paan ho Banaras ya Kolkate ka ... saboot tagda hona chahiye, chahe thank you bolna pade kisi bhi ullu de pathe da
Gas ho jaye khatam toh jala lo chula ... shehar mein swayamvar kyun kare jab bagal mein ho dulha
Maana maine Ali Bhai ka kehna, maana tune Ali Bhai ka kehna ... lekin us budhe ki baat tu seriously mat lena, aur hamesha Mussa se bachke rehna
Joh insaan wafaadar aur gaddar mein fark nahi samajh sakta ... woh maalik hone ke layak nahi ho sakta
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory