Haveliyon ke farmaan ab kanoon nahi hote ... Hindustan azaad ho chuka hai
Tumhari oonchi shakhsiyat ... aur sharifana libaas ke peeche chupe shaitan ko main pehchaan chuka hoon
Saanp ke bil mein haath wohi daalta hai ... joh uske zehar ka todh jaanta ho
Sardar jab dushman ko pakad leta hai na ... toh uski haddiyan tad-tadane lagti hai
Jis din hamara sar ghum gaya na ... toh yahan par kabristan hi kabristan honge
Jurm ko mitane ke liye ... mitna bhi padta hai
Kisi bhi terrorist ko pakadne ke liye duty nahi ... junoon ki zaroorat hai ... junoon
Agar hum sach ke saath hai ... toh hum mein jeetne tak haar nahi maanni chahiye
Achcha dost khushiyan deta hai ... cheenta nahi
Aam aadmi de andhar bhi bhoot rehnda hai ... usse bahar mat aane do ... bahar aa gaya na toh siyapa peh jayega
Aap sab apni dabi hui, kuchli hui, zillat bhari zindagi ka bojh utha sakte hai ... magar zulm ke khilaaf awaaz uthane ko tayaar nahi
Arjun jab chidiye ki aankh ka nishana lagata hai ... toh usse chidiye ki aankh ke siva kuch dikhayi nahi deta
Duniya burri is liye nahi hai kyun ki burre logon ke haath mein taqat hai ... duniya burri is liye hai kyun ki achche log ek saath milkar apni taqat ka sahi istamal nahi karte
Jinke irrade buland ho ... woh sadko ki nahi, aasmano ki baatein karte hai
Aise kaam ke liye himmat ki zaroorat nahi hoti ... sirf iraada hona chahiye
Bhatka hua insaan, aag ki bhatki hui lapton jaisa hota hai ... inka koi rukh, koi disha nahi hoti
Zameen aur aasman ek nahi ho sakte ... us hi tarah kasoorwar aur bekasoor bhi ek nahi ho sakte
Chacha Chaudhary ka dimaag computer se tezz chale hai ... par tera dimaag Chacha Chaudhary se bhi zyada tezz chale hai
Zinda wohi hai joh jhukta hai ... akadte toh sirf murda hai
Chot ko apni taqat bana ... kamzori nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory