Imaandari ka toofan baad par aayi nadi ke paani ki tarah phail jaata hai ... aur baimaani ki fasal ka naam aur nishaan mitta deta hai
Chalo utho ... abhi tumhe bahut pitna hai
Zindagi saanp seedi ki tarah hai ... seedi chada toh mauj, saanp dasa toh maut
Aap jaise log dua karte hai ... ki mujhse kabhi mulaqat na ho
Eent aur patthar jawab dene ke liye nahi hote ... ghar banane ke liye hote hai
Is chot ko apne dil aur dimaag par kayam rakhna ... kal yahi aasoon kranti ka sailaab bankar is mulk ki sari gandagi ko baha le jayenge
Baki meetings meri meeting ke baad
Pyar baantoge pyar milega ... nafrat baantoge nafrat milegi
Aaj se tumhari har goli par desh ke dushman ka naam likha hoga
Jitne bhi phirangion ko tu jaanta hai na ... sabko bulale ... aur hai sabko kehna ki ek saath aaye ... ek ek karke aaoge na toh pitt jaoge
Maut aur waqt ka koi taal-mel nahi hota
Agar dobara tune aaisi galati ki ... toh tera woh hashar karoonga ... ki tujhe apne haathon se apni zindagi phisalti hui nazar aayegi
Kuch raaston par sirf akele hi jaya ja sakta hai ... sirf akele
Jitni tumhari property hai na ... utni jagah par sirf hamare ghode palte hai
Rab di sau ... agar mujhe gussa aagaya na ... toh main aaisi dhulai karoonga, aaisi dhulai karoonga ... ki na koi dawa kaam aayegi aur na hi dua
Mere liye maa aur mulk ek hai
Main us Mahabharat ka Arjun hoon ... jis Mahabharat ke Duryodhan aap hai
Aksar bade logon ki baatein samajh mein nahi aati
Chehre toh aksar dokha dete hai ... sach toh aaine bola karte hai
Shikaari apne shikaar ke saath dosti nahi karta
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory