Imaandari woh ganja sar hai jispar noton ke baal kabhi ugh hi nahi sakte ... thodi si baimaani ki tel ki malish karte rehna chahiye
Kader Khan
Is duniya mein agar koi sharif aadmi pakda jaye, toh usse bachane ke liye koi aage nahi aata hai ... lekin agar ek baimaan aadmi pakda jaye, toh usse bachane ke liye hazaaron aadmi khade ho jaate hai
Yeh woh zamanaa hai ki tum aahista se sach bologe, toh koi nahi manega ... aur zor se jhoot bologe, toh sab maan lenge
Manohar Singh
Truth and justice need no caste, creed or nationality ... let truth and justice prevail
Anil Kapoor
Dushman jab sachcha aur imaandar ho ... toh savdhani aur zyada baratni padti hai
Yashpal Sharma
Duniya mein joh aadmi jitna zyada chanda deta hai ... log usse utna hi sharif aur imaandar samajhte hai
Danny Denzongpa
Sach toh yahi hai Sir ... ki aaj kal log sach darr darr kar hi bolte hain
Govinda
Tum mujhe galat samajh rahi ho ... kaash main sachchai bata sakta
Unknown
Sach bolunga toh sirf ussi waqt darunga ... lekin agar jhooth bolunga toh jab tak pakda nahi jaata tab tak darta rahunga
Kartik Aaryan
Imaandari se medal milta hai ... insaaf nahi milta
Mahie Gill
Idiots hai woh jinko sach se darr lagta hai ... darna rumours se chahiye ... kyun ki rumour ko agar roka na gaya toh woh aisa sach ban jaata hai ... jiske saamne sach bhi jhooth lagne lagta hai
Naseeruddin Shah
Heroes andhere mein ghabrate nahi hai ... deewaron par aakar rukte nahi hai ... woh darke kinare par khade nahi rehte hai ... dar ko maarkar sabko raasta dikhate hai ... unko hosh mein laate hai ... jhoothi duniya mein sach bolne ki kranti karte hai
Sach kabhi nahi jeet'ta ... joh jeet'ta hai wohi sach hota hai
Arbaaz Khan
Haraam ki kamai ke hazaron lakhon rupaye se ... us ek rupaye mein zyada barkat hoti hai joh halaal ki kamai ka hota hai
Jhoot pe sach ki vijay aur burai pe achchai ki jeet ... yahi duniya ka satya hai
Rajat Kapoor
Yahan lakhon logon ke karodon sapne hai ... kuch sache, kuch jhoote ... kuch ban gaye, kuch toote
Sache aadmi ko gale lagane se ... jhoote aadmi ke, kaminey aadmi ke paap thode kam ho jaate hai
Anupam Kher
Maine tumhari tarah dikhave ke liye sharafat ka chola nahi audh rakha hai ... balki farz ki vardi pehani hui hai aur is vardi ka daaman saaf rakhne ke liye main apna khoon tak baha sakta hoon
Shatrughan Sinha
Aatma aur parmatma, tapasya aur vardaan, dharm aur satya ke beech bahut kam antar hai ... phir bhi usse paar karne ka maarg bahut lamba hai
Imaandari ka raasta pathrila zaroor hai ... lekin pahunchata sahi manzil par hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory