Jis jhoot se kisi ki izzat bach jaye ... aaisa jhoot toh hazaron sach se bhi mahaan hota hai
Shashikala
Jhoot ka mazaa ek din ka hota hai aur sach ka mazaa hamesha ka
Rajesh Khanna
Aaj ki duniya mein imaandari woh khotta sikka hai joh bazar mein kahin nahi chalta
Amrish Puri
Sachai ki ek hi zaat hoti hai, ek hi nasal hoti hai ... sachai darbar mein bhi wohi hoti hai, bazar mein bhi wohi hoti hai
Hema Malini
Jis desh mein humne janam liya hai ... us desh mein sachai ki puja hoti hai ... sach ke sivah zubaan par kuch nahi aa sakta
Achala Sachdev
Jinke paas sirf pahunch hoti hai, unke paas kabiliyat nahi hoti ... meri pahunch meri wafaadari tak hai, meri imaandari tak hai, meri pahunch meri mehnat tak hai ... aur iske badaulat main apne mukaam par zaroor pahunch jaonga
Govinda
Tumne ek hi raat mein ek awara ladki ki tarah ... apne khandan ki izzat, gairat, sharm aur sharafat ko havas ki chakki mein pees dala
Anupam Kher
Main zindagi mein kadve se kadva sach bardaash kar sakta hoon ... lekin meethe se meetha jhoot nahi
Unknown
Tujhe imaandari ki khujli lag gayi hai ... zindagi bhar khujate khujate mar jayega ... lekin haath tere kuch nahi aayega
Ishrat Ali
Dilon mein agar sachchai na hoti ... toh mohabbat mein deewangi nahi hoti
Amitabh Bachchan
Inteqam ka josh farz aur sachai ka sar kabhi nahi jhuka sakta
Mithun Chakraborty
Insaan ka itna sach bolna bhi acha nahi ... ki uski zubaan ko rokne ke liye uski saanson ko bandh karna pade
Mohnish Behl
Sach aur jhoot toh insaan ke chehre par likha hota hai
Kanoon ke haath kitne bhi lambe ho inspector sahab ... kisi sharif aadmi ke gelabaan tak kabhi nahi pahunch sakte
Sachai ki jeet yug ki mohtaj nahi hoti
Kareena Kapoor
Suna hai sach aur jhooth ki jung mein jeet hamesha sach ki hoti hai ... aur apne desh ka sach toh yeh hai ... ki jeet ussi ki hoti hai jiske paksh mein kaagaz hota hai ... itni taqat hai apne system mein kaagaz ki ... aur kaagaz ki is taqat se takrana na toh koi mamooli kaam hai aur na hi kisi mamooli aadmi ka kaam hai
Satish Kaushik
Joh namumkin hai agar usse hata diya jaye ... toh baaki joh bhi bachta hai, chahe kitna hi ajeeb kyun na ho ... sach ke aas paas hi hoga
Naseeruddin Shah
Sachai ka rishta khoon ke rishtey se ooncha hota hai
Dharmendra
Sachai dimaag ka darwaza khat-khatati toh hai magar uski dastak sunai nahi deti
Har achcha aadmi, har naik aadmi jab burai ke andhere ko mitaane ke liye bahar nikalta hai ... toh burai ke kaale naag samne aake khade ho jaate hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory