Kabhi kabhi bada sach samne laane ke liye, chota jhooth bolna galat baat nahi
Sunny Deol
Sher ke mooh ko jab insaan ka khoon lag jaata hai ... tab usse kisi aur janwar ke shikaar mein mazaa hi nahi aata hai ... issi tarah ek baar jurm ki kamai khoon mein utar jaaye ... toh halaal ki kamai khane mein mazaa hi nahi aata hai
Jeetendra
Jhoot nahi bolna yaara, sach kehna ... oh yaara dil na todna
Danny Denzongpa
Ishq agar sacha ho toh qayamat tak zinda rehta hai
Abhishek Bachchan
Gaaziyon mein boo rahegi jab talak imaan ki ... takht-e-London tak chalegi teg Hindustan ki
Sachin Khedekar
Mehnat, lagan aur akalmandi ke saath joh baimaani ki jaye ... us baimaani ka duniya ke tamaam imaandar milkar bhi kuch nahi bighad sakte
Anupam Kher
Rupaiyon mein woh taqat hai ... ki imaandar se imaandar insaan ki bhi neeyat bighadte derr nahi lagti
Rajeev Verma
Sachi baat kehne ke liye himmat ki zaroorat nahi ... himmat ki zaroorat hai sachi baat sunne ke liye
Unknown
Aankhen joh dekhti hai ... woh hamesha sach nahi hota
Dino Morea
Sachchai aur nyay ki koi jaat ya paat nahi hoti
Anil Kapoor
Main jab bhi bolta hoon seedhe aur satya hi bolta hoon ... kyun ki mere liye joh sabse sundar hai wohi satya hai ... aur joh satya hai wohi Shiv hai
Akshay Kumar
Asli bahadur woh nahi hote joh camera ke peeche sawaal poochte hai ... asli bahaduri woh dikhate hai joh camera ke samne aakar sach bolne ki himmat rakhte hai
Sonakshi Sinha
Sanskar sirf kapde pehenne ya kapde utaarne se nahi bante ... aur yehi ek nanga sach hai
Darshan Jariwala
Kadve sach se meetha jhoot kabhi kabhi achcha hota hai
Randhir Kapoor
Agar baazuon mein imaan ki taqat, dilon mein sachai aur zubaan pe "Inquilab Zindabad" ka naara hai ... toh zindagi ki har maqsad hamare kadamon mein hoga
Shatrughan Sinha
Dhan daulat ko chalti phirti chaya kaha gaya hai ... aaj hai toh kal nahi ... fakr toh us daulat pe kiya jaye joh kabhi insaan ka saath na chhode ... aur woh hai sachai aur imaan ki daulat ... insaaniyat, daya aur dharam ki daulat
Vinod Mehra
Hum buraiyon ko mithaiyon ki tarah nighal lete hai ... lekin sach ko nighalna bahut mushkil hota hai ... kadva joh rehta hai
Priyanshu Chatterjee
Imaandari na bazaar mein khareedi jaati hai aur na hi kagaz par likhi koi aaisi pankti hai jisse yaad karlo ... imaandari ek sanskar hai
Zindagi ke imtehan mein aaise mauke bhi aate hai ... jab insaan ko sachchai chupani padti hai
Waqt padne par aadmi jhoot bhi sach ki tarah bolta hai
Rajesh Khanna
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory