In aankhon ki masti ke mastane hazaaro hai ... kehne ko toh duniya mein maikhane hazaaro hai ... is shama faroza ke parwane hazaaro hai
Archana Puran Singh
Agar tu dil todh bhi degi mera, toh har toota tukda tere liye dhadkega ... mera yeh ishq sirf chingaari nahi, aag bankar bhadkega
Harshvardhan Rane
Dil mein joh aag hai sabko dikha doonga ... joh uthi doli teri duniya mein aag main laga doonga
Rajkummar Rao
Tumhare pyar mein dil bekarar kab se hai ... ab aa bhi jaao, mujhe intezar kab se hai
Shahrukh Khan
Hum mein apna ilaaj-e-dard-e-dil karna bhi aata hai ... hum aaise jeene waale hai jinhe marna bhi aata hai
Meena Kumari
Bhagwan ke saath khel, sentimental hai maaf kar dega ... bhai mental hai, cheerke rakh dega
Mukesh Rishi
Marzi ho toh sooli par chadana ya rab ... sau baar jahannam mein jalana ya rab ... lekin mashooq kahen aap hamare hai buzurg ... na cheez ko yeh din na dikhana ya rab
Shammi Kapoor
Dhoondi sari duniya, dhoonde sare khopche ... kahan chupa hai re tu Mussa, Sultan se bachke
Mahesh Manjrekar
Jiske paas ho pyar ki amanat ... ab Allah karega uski hifazat
Unknown
Hum mein lagi hai joh thokar, tu muskurata hai ... yeh waqt woh hai, ki dushman bhi raham khata hai
Sui aur wagi lo aur pyar ke dhaage ... seeyo kapde pehenke jinko jadoo jism ka jaage
Raaj Kumar
Yeh toh mafia ke baap hai ... ek nevla toh doosra saanp hai ... agar dono mil jaaye toh killer shark hai ... lekin dono angootha chaap hai
Salman Khan
Soora so pehchaniye joh lare deen ke het ... purja purja kat marre, kabh hoon na chhade khet
Bobby Deol
Hosh mein aa zaalim gareeb jaagne waala hai ... tayaar raho bhaiyo ab yeh khujane waala hai
Kader Khan
Kal se duniya ek pyari si jannat hai ... joh khul rahi hai dheere dheere woh aaj teri kismat hai
Koena Mitra
Jab hum chale toh saaya bhi apna na saath de ... jab tum chalo zameen chale, aasmaan chale ... jab hum ruke toh saath ruke shaam-e-bekasi ... jab tum ruko bahaar ruke, chandni ruke
Guru Dutt
Khushi hazar sahi, gham judha nahi hota ... gareeb kitni bhi pee le, nasha nahi hota
Nilu Phule
Main jaanta tha tumhari aankhon mein mera intezar hai, tumhare dil mein mera pyar hai ... magar yeh zalim zamana hum dono ke beech deewar hai
Sunny Deol
Ab toh ghabra ke yeh kehte hai ki mar jayenge ... marke bhi chain na paya toh kidhar jayenge ... hum nahi woh joh karen unka daava tujhse ... balki poochega khuda bhi toh mukhar jayenge
Dushman lakh bura chahe toh kya hota hai ... wohi hota hai joh manzure khuda hota hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory