Hasratein Lucknow, basratein Kanpur ... surmayi hai Bareilly, aur kaatilana hai Rampur
Mohammed Zeeshan Ayyub
Khushboo tumhari zulfon ki ab tak basi hai saanson mein ... mehak jaati hai rooh meri jab aati ho tum baahon mein
Akshay Kumar
Yakeen aaye na aaye tumko lekin yeh haqeeqat hai ... mile ho jabse tum mujhko yeh duniya khoobsurat hai
Rekha
Main aaya hoon yahan par tere liye ... aur tu banayi gayi hai mere liye
Shakti Kapoor
Qaid mein hai zindagi, azaad ho jaa ... mohabbat mein chal barbaad ho jaa ... teri shehad si awaaz ko kaano se chakk loon ... tu mere ishq ka meetha swad ho jaa
Vijay Raaz
Joh hashr hua hai lakhon ka, apna bhi woh anjaam sahi ... hum pe toh kahi ilzaam lage, tujhpar bhi koi ilzaam sahi
Shahid Kapoor
Mere hi haathon mein likhi hai taqdeer meri ... aur meri hi taqdeer pe mera bas nahi chalta
Salman Khan
Beheto toh mehbooba ki sar aankhon par beheto ... leto toh mehbooba ki aagosh mein leto ... varna kuch nahi, khade raho
Sanjeev Kumar
Kaunsi gutthi hai woh joh humne suljahi nahi ... aaisi fariyaad aaj tak darbar mein aayi nahi
Prithviraj Kapoor
Shakahari ke pet mein machchi ... aai shapat kai tari hai gochi
Johnny Lever
Patjhad ke baad aate hai din bahaar ke ... jeena kya jeevan se haar ke
Anil Kapoor
Sharmati hai kyun aaj meri baahon mein aake ... le jaonga ek din tujhe doli mein bithake
Raaj Kumar
Allah re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud ... rangeeniyon mein doob gaya pairahan tamaam
Danny Denzongpa
Joh kuch bhi main kahoonga, sach main kahoonga ... ja rahi ho tum door, par main touch mein rahoonga
Agar koi alag tarah jeena chahta hai, toh usse jeene do ... har dil apni hi tarah dhadakta hai, har dil dhadakne do
Unknown
Zara yeh raat dhalne de, nasha tera utaroonga ... jawaani bhool jaye ishq, tujhko aaise maroonga ... andhere mein agar maara toh kehlaonga main buzdil ... tadap le raat bhar, pehli kiran hogi teri kaatil
Pran
Mohabbat aur jurrat kya cheez hai, yeh tu kya janega kasai ... yeh deewana bankar rahega, tumhara permanent jamai
Shahrukh Khan
Na koi kisi ka raqeeb hota hai ... na koi kisi ka habeeb hota hai ... khuda ki rehmat se ban jaate hai rishtey, jahan jiska naseeb hota hai
Tigmanshu Dhulia
Gareebi todh deti hai joh rishtey khak hote hai ... aur paraye apne hote hai jab paise paas hote hai
Ek dost ne ek dost ko yun peeta ... tann ki shakti, mann ki shakti senorita
Divyendu Sharma
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory