Husn ibaadat hai meri, ishq mazhab hai mera ... hoon toh insaan magar, bhes hai parwane ka
Rishi Kapoor
Prem ki sabse badi kushalta yeh hai ... ki is mein lene waala bhi kuch deta hai aur dene waala bhi kuch paata hai
Paresh Rawal
Paris mein pyar karna aasaan hai ... par pyar paana bahut mushkil
Unknown
Jis pyar mein tyaag ho, woh tyaag mahaan hota hai ... aur usse bhi mahaan hota hai, tyaag karne waala
Mithun Chakraborty
Mind jab bhi bolta hai galat hi bolta hai ... lekin heart kabhi galat nahi bolta ... bas heart ko sunne waala ek mind hona chahiye
Likhta hoon khat khoon se, shahi na samajhna ... yeh rang hai chahat ka, tabahi na samajhna
Sharton par pyar nahi hota
Aadmi pyar chahta hai, aadmi pyar karna chahta hai, pyar paana chahta hai
Pyar bhari zindagi ka ek pal ... bina pyar ki sadiyon se kahi bada hota hai
Reena Roy
Woh dil le gayi ek baar dekhkar ... hum kuch na kar paaye lagatar dekhkar
Hum nahi teer aur talwar se marne waale ... katal karna hai toh ek tirchi nazar kafi hai
Kader Khan
Pyar karne wale aitbaar ka certificate nahi maangte
Hamara kal kaisa bhi ho ... hum usse milkar khoobsurat banayenge
Power mein joh power hota hai, woh aur kisi cheez mein nahi ... lekin ab lagta hai power se zyada power, pyar mein hai
Harshvardhan Rane
Kisi ke saath poori zindagi guzaarne ke liye baar baar pyar mein padna padta hai ... us hi ek insaan ke saath
Anupam Kher
Mausam baimaan hai, nasha barsa raha hai ... tumse dil lagane ko jee chah raha hai
Tumhe pyar karenge, tumhari raksha karenge ... joh hummo bhagwan bhi hum dono ke beech mein aayo ... toh maa kasam, hum uski bhakti chhod denge
Jimmy Shergill
Saanson ki garmi mein mohabbat ubaal de ... arre ek chumma idhar bhi toh uchaal de ... kaun jaane kal aaye na aaye ... saara pani mohabbat mein aaj hi nikaal de
Aankhen band karoon toh us hi ka chehra ... aankhen kholon toh us hi ka khayal ... raat raat bhar karvatein badalkar jaagta raha ... tabhi toh bana gaya hai tera yeh haal
Main yoon hi bekhudi mein keh gaya hoon dilruba tumko ... khuda ka khauff na hota toh keh deta khuda tumko
Ayub Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory