Tere labon pe inkaar hai, mere labon pe ikraar hai ... haan yahi toh hai sab nishaaniyan, haan issi ka naam toh pyar hai
Ajay Devgan
Tum mujhe bahut achchi lagti ho ... jab samne rehti ho toh dil karta hai ki tumhe dekhta rahoon ... aur jab door rehti ho toh mann chahta hai ki tumhare bare mein sochta rahoon
Sanjay Dutt
Woh kaunsi mehakti hawa ka jhonka hai jis mein main dolna chahungi ... woh kaunsa bhavishya hai mere liye jiske haath mein main apna haath thamana chahungi ... woh kaunsa devta hai jiske bagair mera jeevan suna aur meri aatma adhoori hai ... aur woh kaunsa tirth staan hai jahan mere dil ka kisi dil se sangam hoga?
Unknown
Naya ho chahe ho purana, hai toh tumhari nishaani ... kal subhe saat bajhe se shuru hogi teri meri prem kahani
Jabse thappad maine khaya, ek aafat ho gayi ... aye but-e-kafir mujhe tujhse mohabbat ho gayi
Johnny Walker
Pyar ka davaa karna bahut aasaan hota hai ... lekin usko nibhana utna hi mushkil
Mera bas chale toh ek minute mein 60 seconds, ek ghante mein 60 minute aur ek din mein 24 ghante ... bas tumhe dekhta rahoon, tumhe choomta rahoon
Sunil Shetty
Pyar ka naam hai judaai ... yahi judaai pyar ka inaam bhi hai aur pyar ki sazaa bhi
Sharmila Tagore
Yeh daur patthar khane waale Majnu ka nahi ... yeh daur us aashiq ka hai joh apni mehbooba ke liye seene par goliyan kha jaye
Kulbhushan Kharbanda
Zindagi mein yahi tamanna bhi thi hamari ... ki jab bhi pyar karenge ya toh taaron ki chaon mein ya talwaron ke saaye mein
Rajendra Kumar
Tumhare pyar ka kya sila doon yeh nahi malum ... umar mil saki agar kuch aur toh yeh bhi seekh loongi main tumse
Zeenat Aman
Pyar is duniya ki sari taqleefon ko apni mithaas se pighala deta hai
Ab yeh dard saha nahi jaye aur bin kahe bhi raha nahi jaye ... meri samajh mein kuch kuch aaye, machi hai kyun hai-hai ... pyare yahi toh ishq kehlaye
Kader Khan
Mera dil us mandir ki tarah hai jis mein ek baar joh murti bitha di jaati hai ... zindagi bhar ussi ki pooja ki jaati hai
Kamal Hassan
Mohabbat mein chirag-e-gul zamane ki hawa thandi ... chahe jitni bhi aag jale ishq ki, hawa thandi ki thandi
Asrani
Jeene waala kisi ki jaan bankar bhi jeeta hai ... aur kisi ko jaan banakar bhi jeeta hai
Vinod Mehra
Yeh mere do haath jab bhi uthenge pattharon ko tarashne ... yeh goonj har baar milan ka geet bankar sunai degi ... tumhe vishvas dilane ki tum mere paas ho, mere dil mein
Jeetendra
Aaina todh diya khud bhi nazara na kiya ... unke jaisa ho koi yeh bhi gawara na kiya
Meenakshi Sheshadri
Main jeeonga tumhare saath aur maroonga tumhari chahat mein
Saif Ali Khan
Paas ho toh pyar karte hai ... door ho toh pyar ki baatein
Aashish Chaudhary
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory