Chal lekar apni naav chale, chandan chandani ke gaon chale ... indradhanush ki behti dhara, uske paar teesra kinara ... is safar mein aur koi nahi, yeh safar hai bas mera tumhara ... ab kis dastak ka hai intezar, jab tumhe pukarta ho pyar aur samne ho sapnon ka sansar ... chal lekar sapnon ki naav chale, chandan chandani ke gaon chale
Nana Patekar
Pyar kisi ke dil mein pehda nahi kiya ja sakta ... pyar ho jaata hai
Ameesha Patel
Chandni aanchal mein bhar layi hai tu ... raat yeh chamki hai jab aayi hai tu
Raaj Kumar
Meri nazar ne husn ka jadoo jaga diya ... tujhko sajaake aur bhi katil bana diya
Jiske paas mohabbat hai ... usse na jaan ka darr hai, na jahaan ka
Ajay Devgan
Chaand aur chaandani juda ho sakte hai ... phool aur khushboo alag ho sakte hai ... magar ab hum ek doosre se kabhi door nahi honge, kabhi nahi
Hrithik Roshan
Mujhe teri aankh, kaan, naak bilkul pasand nahi ... mujhe toh teri muskurahat se pyar hai
Shahrukh Khan
Meri baat ka meri humnafas, tu jawab de ki na de mujhe ... teri ek chup mein joh hai chupi, woh hazaar baaton ki baat hai
Amitabh Bachchan
Is comic chehre ke peeche bhi ek dil hai ... joh tumhare liye bahut serious hai
Aftab Shivdasani
Hum tum dono jab mil jayenge ... ek naya itihaas banayenge ... aur agar hum na mil paye toh ... toh bhi ek naya itihaas banayenge
Kamal Hassan
Woh aaye hamare ghar mein, khuda ki kudrat hai ... kabhi hum unko, kabhi apne ghar ko dekhte hai
Aiye ji sunte ho aap bade woh hein
Unknown
Pyar ho gaya hai tujhse ... har jagah sirf tera hi chehra dikhne wala pyar ... real life mein background music bajne wala pyar ... haath pakad ke zindagi bhar khamosh rehne wala pyar ... hamesha hamesha wala pyar ho gaya hai tujhse
Alia Bhatt
Main apna har aaj sirf tumhare saath bitana chahta hoon
Sidharth Malhotra
Kya mazaa baar baar milta hai tumhe humse rooth jaane mein ... roothne mein lagti hai do ghadiyan, umar kat jayegi manane mein
Juhi Chawla
Shaadi shuda zindagi mein pyar ki daal agar thandi padh jaye ... toh us mein romance ka tadka lagake fresh kar dena chahiye
Shola ya shabnam, naa toh hai hi ... koshish karke dekh le ... shayad haan ho jaye
Ritesh Deshmukh
In aankhon ki masti ke mastane hazaaro hai ... kehne ko toh duniya mein maikhane hazaaro hai ... is shama faroza ke parwane hazaaro hai
Archana Puran Singh
Jab tum mere paas nahi hote toh mera dil nahi lagta ... aur jab pass hote ho toh mera jee nahi bharta
Mohabbat aisa cancer hai joh ... achche khase aadmi ko tadpa tadpa kar maar dalta hai
Mukesh Khanna
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory