Jis ladki se pyar karta hoon usse shaadi nahi kar saka ... aur jisse shaadi ki hai usse pyar nahi
Zindagi sirf beete hue dino ki yaad nahi hai ... zindagi yahan hai, abhi hai ... isse jeena seekho, iski izzat karna seekho
Prem toh ek badal ki tarah hai joh achanak aa jaata hai, achanak baras jaata hai ... aur chand nikal aata hai
Mehmaan apni khushi se aate zaroor hai ... lekin jaate ghar waalon ki marzi se hai
Rajput apni baat rakhne ke liye mushkil hi nahi ... namumkin cheezen karne ke liye mashoor hai
Sachai hamesha nangi hoti hai ... usko agar libaas pehna diya jaye toh banawat ban jaati hai
Kamana, kharch karna ... aur kamana, aur kharch karna ... bas issi mein zindagi guzar jaati hai ... saaye ke peeche bhaagte rehte hai hum aur zindagi ki asliyat kho behette hai
Taleem se bhi kya hasil hai ... hasil toh hai chalaaki se, makkari se, hera pheri se ... joh yeh kala seekh gaya, woh hoshiyaar ... aur joh na seekh paya, woh taleem paakar bhi bewakoof
Duniya ki koi maut pyar ki zindagi se zyada khubsoorat nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory