Sitaron ki mehfil sajji hai, us mein ek hoor ek pari hai ... joh zindagi hamari hai, hum mein jaan se bhi pyari hai
Dino Morea
Main unse aaisa bayanak badla loonga ... ki doosri bar janam lete hue unki maa ki kook tadhtada jayegi ... unki zindagi ka ek ek din barbaadi ka din bana doonga
Madhoo
Yeh halat hui hai iski, pee peekay rum aur whiskey ... liver bhi ho gaya risky ... yeh uski hai na iski, badhon badhon ki jaan hai khiski ... oo peene waale sun, teri jaan ki dushman whiskey ... agar tu saath na iska chhodega, yamraj se naata jodega ... apna bhala bura pehchan, beta hum badhon ki baat ko maan ... yeh whiskey bahut hai risky, yeh whiskey bahut hai risky ... badhon badhon ki jaan hai khiski
Unknown
Zindagi ek echo sound ki tarah hoti hai ... isse jis tarah sawaal pocha jaye na ... us tarah mudkar jawab bhi mil jaata hai
Aashish Chaudhary
Insaan ke jeevan ko tasveeron ka ek caravan samjho ... saikado tasveeron ka caravan
Uttara Baokar
Zindagi us bewafaa aurat ki tarah hai ... joh bure waqt mein apne pati ka saath chhod deti hai
Anupam Kher
Ek masoom aadmi neta ke liye apni jaan dene ko tayaar hota hai ... lekin azaadi ke baad aaj tak kya kisi neta ne apne ek aam aadmi ke liye jaan di hai?
Zindagi mein kuch khwahishen poori ho jaati hai aur kuch dil hi mein reh jaati hai ... yahi zindagi hai, yahi zindagi hai
Himanshu Malik
Kroadh woh zehareela saanp hai joh dasta zaroor kisi doosre ko hai ... lekin zehar khud ki zindagi mein ghol deta hai
Pehle lagta tha ki zindagi ek intezar hai ... a long boring wait ... lekin ab lagta hai jaise ki zindagi ek film ki tarah hai ... boring hai toh kya hua, forward toh kar sakte hai na
Kalki Koechlin
Zindagi ke safar mein bahut saare musafir milte hai ... lekin har ek ki manzil ek hi toh nahi hoti
Amrita Arora
Zindagi ki har ghadi aakhri ghadi hoti hai ... aur har saans aakhri saans hota hai
Ramayan Tiwari
Dukh jab zindagi ka hissa ban jaye ... toh usse haskar gale laga lena chahiye
Mithun Chakraborty
Zindagi mein agar apne bal par aage badna ho toh ... sabse pehle doosron ki naukri karna seekhna chahiye ... isse insaan hunar bhi seekhta hai aur tameez bhi
Agar tune meri zindagi ki taraf aankh uthakar bhi dekha ... toh teri zindagi mein aaise aaise scene likh doonga ... joh na tune kabhi dekhe honge na sune honge
Sunny Deol
Agar tumne hamara kaam nahi kiya ... toh hum tumhari beti ki zindagi bounce check ki tarah phaadkar ... tudke tudke kar denge
Ashish Vidyarthi
Zindagi kabhi kabhi aaise modh par aa jaati hai ... jahan se koi U-turn nahi hota
Kamaal Rashid Khan
Zindagi ka koi bharosa nahi hai ... lekin ek baat ka bharosa hai ... life insurance ka
Rajpal Yadav
Zindagi bhi kitni dilchasp hai ... woh har naye anubhav ke saath thokar lagati hai ... ek naye sabak ke liye
Agar bhagwan bhi insaan se uski zindagi maange, toh insaan kabhi nahi dega ... is liye bhagwan bhi cheen kar hi leta hai
Govinda
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory