Aaisi jagah laat marenge na ... ki poori zindagi apni aurat ke paas jaane se gabrayega
Unknown
Shaadi na hi ek contract hai, na hi koi utsav hai ... agar utsav hai toh logon ke liye hai ... shaadi do aatmaon do dilon ka mel hai ... jisme do jan bharpoor zindagi saath saath jeete hai aur saath saath marte hai
Akshaye Khanna
Zindagi sabko imaan bachakar jeene ki luxury nahi deti hai ... naa hi sahi ya ghalat mein sahi choose karne ki azaadi ... zindagi baar baar aapko aaise modh pe laake khada karti hai ... jahan yeh tai karna mushkil ho jaata hai ki jaan bachaye ya imaan
Irrfan Khan
Tang aa chuke hai kashmakash-e-zindagi se hum ... thukra dein jahaan ko kahin bedili se hum ... hum ghamzada hai laaye kahan se khushi ke geet ... denge wohi joh paayenge is zindagi se hum ... ubhrenge ek baar abhi dil ke valvale ... maana ke dab gaye hai gham-e-zindagi se hum ... lo aaj humne todh diya rishta-e-umeed ... lo ab kabhi gilaa na karenge kisi se hum
Guru Dutt
Dukh toh sabhi ki zindagi mein hota hai ... kisi ko bin maange mil jaata hai meri tarah ... aur koi jaan-mooch ke modh le leta hai tumhari tarah
Sanjeev Kumar
Zindagi aur waqt ka dariya aaisa hai ... aadmi ek baar usse laang jaye toh phir kabhi vapas nahi aa sakta
Madhubala
Jaan chahe janwar ki ho ya insaan ki ... jaan, jaan hoti hai ... khoon chahe janwar ka gire ya aadmi ka ... dard dono ko ek sa hota hai
Govinda
Jeevan ke kis modh pe, kab koi mil jaaye ... kaun keh sakta hai?
Sridevi
Meri aankhon ki surahi se meri nazaro ka jaam pijiye ... dil cheez kya hai, aap meri jaan lijiye
Archana Puran Singh
Zindagi bas ek safar hai ... sacha ghar toh sabka ek hi hai ... upar waale ka
Abhishek Bachchan
Cancer ke keedon ke samne ... na meri zindagi ki koi keemat hai ... na tumhare aasuon ki
Rajesh Khanna
Ek baar zindagi mein zaroor milna
Saif Ali Khan
Zaroorat toh kabhi khatam nahi hoti ... mauke khatam ho jaate hai, sapne khatam ho jaate hai, yeh saali zindagi khatam ho jaati hai ... lekin zaroorat hi hai joh kabhi khatam nahi hoti
Emraan Hashmi
Poornta se pal pal jeene ko hi asli jeevan kehte hai ... aur poornta se jeene waalon ke liye kabhi maut nahi hoti
Shahrukh Khan
Zindagi ke bade bade faisle in choti choti baaton se nahi liye jaate
Jimmy Shergill
Zindagi mein hamesha apna faida nahi dekhna chahiye ... kabhi kabhi kuch kaam doosron ki bhalai ke liye bhi karne chahiye
Alok Nath
Haan main cheating karta tha, par sirf khel mein ... tune toh zindagi ko khel samajh ke mujhe cheat kar diya
Amitabh Bachchan
Jab koi kisi ki jaan bachata hai ... woh zindagi jaan bachane waale ki ho jaati hai
Deepika Padukone
Dhoop zindagi deti hai
Hrithik Roshan
Kanoon ki koi bhi kitaab zindagi ki kitaab se badhkar nahi ho sakti
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory