Joh koi bhi kisi bekasoor ka qatal karta hai ... woh poori insaaniyat ka qatil hai ... joh koi bhi ek zindagi bachata hai ... woh poori insaaniyat ko bachata hai
Arjun Kapoor
Na kar bandeya meri teri ... char dinan da phair hai duniya ... phir tu bhi mitti, main bhi mitti
Aishwarya Rai
Lohe ke darwaze taqat se tootte na tootte ... akal se khule zaroor ja sakte hai
Sridevi
Zindagi mein kuch banana hai, kuch hasil karna hai toh sabse important cheez hai discipline ... discipline ke bina aadmi apne destination tak nahi pahunchta
Sunil Shetty
Chal padhe jidhar bhi ek pag ... chal padhe hazaron pag ussi aur ... gadh gayi jidhar bhi ek drishti ... gahd gaye hazaron drig ussi aur
Aanjjan Srivastav
Achche waqt mein koi bhi khush reh sakta hai ... aadmi woh hai joh bure waqt mein khush rahe na rahe ... lekin doosron ko khush rakhe
Sohail Khan
Doosron ki seva karna hi bhagwan ki puja karna hai
Madhuri Dixit
Buraiyon se ladte ladte joh log mar jaate hai ... unki maut ko maut nahi ... shahadat kaha jaata hai
Kader Khan
Chhoti chhoti jal ki boondein sagar ko bhar deti hai ... balu ki rach nanhi nanhi sukar bhoomi rach deti hai ... kshan kshan kaal ikkattha hokar lamba yug ban jaata hai ... kshan ko shuksma na samjho bhai ... yeh jag ka nirmata hai
Unknown
Yeh duniya gham toh deti hai, lekin sharikh-e-gham nahi hoti ... aur is duniya mein kisi ke door jaane se na, mohabbat kam nahi hoti
Govinda
Kabhi kabhi life mein aaisa lagta hai ki hum sach-much udh sakte hai ... aaisa lagta hai ki yeh ek mauka sirf hamare liye banaya gaya hai
Imran Khan
Main apne haath do hi waqt uthata hoon ... dua ke liye, joh mera imaan hai ... aur zulm ke khilaaf ladne ke liye, joh mera ishq hai
Sunny Deol
Bada sochoge, phir bada banoge
Sanjay Mishra
Zindagi zaroorto ke hisaab se guzaarni chahiye ... na ki khwaisho ke hisaab se ... kyun ki zaroortein saala fakir ki bhi poori ho jaati ... magar khwaishein badshaho ki bhi adhoori reh jaati hai
Veena Malik
Ummeed ka diya toh zindagi ka diya bujhne ke baad hi bujhta hai
Har nayi cheez ke liye kismat ko aazmana bahut zaroori hota hai
Aamir Khan
Meri machine ka kaam karodon kamana nahi ... karodon ke kaam aana hai
Akshay Kumar
Jab tak hawa mein ho befikar hoke udne ka maza lete raho ... shayad kabhi pair zameen pe padne ki zaroorat hi na pade
Ranveer Singh
Insaan ki pehchaan kapdon se nahi ... karam jogi aur gyan jogi hone se hoti hai
Gurmeet Ram Rahim Singh
Hum har jagah bas apne aapko dhoondte hai ... aur agar woh mil jaye toh phir usse sambhal ke rakh lena chahiye
Ileana D'Cruz
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory