Agar aap ek aaisa product banaye jiski demand aaj hai ... toh aap late hai ... product woh hona chahiye jiski demand kal hogi
Jacky Bhagnani
Paramparaon ki lakeerein jab dhundli padh jaati hai ... toh nayi lakeerein kheenchne se parhez nahi karna chahiye
Om Puri
Agar apne dil ki chuban se chutkara pana hai ... toh doosron ke pair mein chube huye kaante ko nikalo
Kunal Khemu
Meri janam patri, meri kundli, yeh degree hai ... aur iski kismat mein kitne rahu hai kitne ketu, yeh koi jyotshi nahi jaanta
Manoj Kumar
Dil ko dhadakana, dhadkane khud hi sikha deti hai ... par un dhadkano ko zinda rakhna padta hai
Ajay Devgan
Apni khushiyon ke liye kabhi kisi pe depend mat karna
Ila Arun
Woh zindagi hi kya jis mein koi namumkin sapna na ho
Manisha Koirala
Tumhe lagta hai jab tak duniya nahi badlegi tum nahi badloge ... lekin sach toh yeh hai ki, jab tak tum nahi badalte tab tak duniya nahi badalne waali
Sonali Kulkarni
Tum usse apna samajhte ho, joh madad leta hai ... main usse apna kehta hoon, joh madad deta hai
Pran
Aaj ke doobte huye suraj ke andhere se main nahi darta ... kal ka ughta hua suraj aasman ko phir se kesariya bana dega
Nawazuddin Siddiqui
Agar samne wale ke andar darr pehda karna hai na ... toh apne andar ka darr nikalna hota hai
Gurmeet Choudhary
Bande ko na hard working nahi ... smart working hona chahiye
Arjun Kapoor
Joh lada jung ke maidan par wohi shaheed hua ... lekin joh lada hi nahi woh pehle hi gaya ... samman ki is ladai mein apmaan bhi hoga ... lekin joh apni nazaron se girega woh atmasamman se bhi gaya ... besharamon ki is basti mein ab humne toh thaan li hai ... tann pe rahe na ek bhi kapda lekin izzat humne apni zaroor bachani hai
Sunny Deol
Mere baba hamesha mujhse kehte the ... ke tumne zindagi mein cricket ko chuna hai, yeh ek baat hai ... lekin aakhir tak joh baat tumhare saath rahegi ... woh yeh hogi ki tum insaan kaise ho
Unknown
What you perceive is your reality, what I perceive is my reality ... there is no reality as such ... there are only perceptions
Nana Patekar
Insaan ko zindagi mein sab kuch mil toh nahi jaata ... tamannayein toh bahut hoti hai lekin sabhi poori nahi hoti ... fark sirf itna hai ki kuch log aansoon bahakar jeete hai aur kuch log apne dil ka dard chupakar jeete hai
Mithun Chakraborty
Lamhon ko yaadein nahi ... yaadgar banate hai
Salman Khan
Life is not worth living ... till you don't have something to die for
Aditya Narayan
Shikayat karne se problem ka solution nahi milta hai
Paresh Rawal
Mauka jitna chota shabd hai na ... utni hi derr ke liye aata hai
Jackie Shroff
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory