Wife working ... husband jerking
Javed Jaffrey
Oh meri cutie pie, audh ke razai, without angdai ... main hoon tumhara patti, tu meri lugui
Ritesh Deshmukh
Tera pati hai na harami, tedha hai par tera hai
Akshay Kumar
My would be wife ... yeh lo knife ... kaato yeh cake aur bacha lo is bhooke ki life
Sanjay Dutt
Biwiyan toh dono hi lootati hai ... jeevan bhar saath dene waali bhi aur agle din faraar hone waali bhi
Sonam Kapoor
Tum jaisi patni pakar apni taqdeer ki aarti utaarne ko dil chahta hai
Jeetendra
Pati patni joh saat kasme khate hai na ... ki woh ek doosre ke saath rahenge, ek doosre ko khush rakhenge, ek doosre ko cheat nahi karenge ... un saat kasmo ko hum khud likhenge apne mann se ... chaar kasme tum likhna aur teen kasme main likhoongi
Esha Deol
Husband aur suraj dono bewafaa hote hai ... aata hai Kiran ke saath, rehta hai Roshni ke saath aur jaata hai Sandhya ke saath
Mallika Sherawat
My life is Hindi but my wife is English
Irrfan Khan
Jab dhoonde mard biwi ke saath bahar waali ko rakhne ka bahana ... toh reh jaata hai bilkul akela holding a banana
Koi bhi rishta pati patni ke yakeen se badkar nahi hota hai
Priyanka Chopra
Ram Ram ... yeh patni hai ki panauti hai
Paresh Rawal
India Pakistan mein biwi shohar ke bare mein agar itna jaante honge, toh phir woh biwi shohar nahi honge ... Karan aur Johar honge
Sanjay Mishra
Pati woh hota hai jise patni parmeshwar samajhkar poojti hai ... ek kamzor aur besahara aurat par zulm karne waala pati nahi ... rakshas kehlata hai
Sunil Shetty
Patni ka ghamand hota hai uska pati ... aur tum us ghamand ko kayam rakhane ke liye pati ki khushi mein apni khushi talash karna ... issi mein ek sukhi pariwar ki zamanat chupi hui hai
Shreeram Lagoo
Auratein apne pati ko apna bhagwan maanti hai ... aur main woh khushnaseeb hoon joh apne bhagwan ko apna pati banane ja rahi hoon
Bipasha Basu
Ek Hindustani naari ki liye uska pati hi uska bhagwan hota hai
Unknown
Pati patni ki narazgi garmiyon ki barsaat ki tarah hoti hai ... joh hamesha nahi rehti
Asrani
Ek aurat ke liye uske pati ke pyar ke bina duniya ki tamaam daulat, saare sukh ke samaan ... us bejaan kagaz ke phool ki tarah hote hai ... jin mein banavati rang toh hote hai lekin zindagi ki khushboo nahi hoti
Poonam Dhillon
Bharatiya naari ke jeevan mein talaak ya divorce nahi hota ... usse toh apne pati se sirf maut hi alag kar sakti hai ... divorce nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory