Jisme insaan ki bhalai ho woh kaam kabhi bura nahin hota
Rajesh Khanna
Sabke karam samne aayenge ... woh kya hai na karma rishvat nahi leta
Akshay Kumar
Saanp ke bil mein haath wohi daalta hai ... joh uske zehar ka todh jaanta ho
Sunny Deol
Kya ishq ka khoon kisi sahukar ke paan ki pichkari hai ... kya tumhari zindagi zindagi, hamari zindagi bimari hai ... tumhara khoon khoon, hamara khoon pani hai ... tumhara naam naam, hamara naam gaali hai ... tum karo zulm toh woh sarkari hai ... aur hum kare fariyad toh woh gaddari hai
Kader Khan
Tumne aurat ko samjha nahi bhaiya ... woh andhero se nahi darti ... jab woh faisla kar leti hai toh mann mein vishvas ka diya jalakar ... usse apni maang ka sindoor bana leti hai
Neelam
Pehle main tumhare pyar mein deewani thi ... aaj main tumhare izzat ki deewani ho gayi
Sridevi
Yeh ameer log apne liye khud chikna sadak banaye ... hamari raah mein aisa bada bada ghadda khod diye ... lekin yehi woh sabse badi galati kar diye ... humko saala chalang lagana sikha diye ... jab samay aayega toh sabse bada aur sabse lamba chalang hum hi maarenge
Hrithik Roshan
Aadmi us din nahi marta jab uski saansein dum todh de ... aadmi us din marta hai jis din usse uski izzat cheen li jaati hai
Unknown
Main contract sirf khoon karne ka leta hoon ... mohabbat ke khel khelna ka nahi
Bobby Deol
Jab bhi hamari kismat hum mein muskurata hua dekhti hai ... toh usse jalan hone lagti hai
Rekha
Duniya mein shayad hi aise koi maa baap honge joh apni aulaad ko zakhm dena chahenge ... lekin na jaane kitni aisi anginat aulaadein hai ... joh apne maa baap ka seena zakhmon se challi kar dalti hai aur uff tak nahi karti
Kiran Kumar
Khamoshi bhi ajeeb hai, kahin toh ek ajeeb sa rishta ban jaati hai ... lekin agar rishton mein aa jaye, toh ghutan ban jaati hai
Katrina Kaif
Yeh emotions bhi kitne stupid hote hain na ... logic hi nahi samajhte
Priyanshu Chatterjee
Jab tu paida hua tha tab sirf tera kadh chota tha ... lekin bade hokar teri harkatein usse choti nikli
Nassar
Dimaag jitna thanda ... badla utna meetha
Paresh Rawal
Kitne kamzarf hai yeh gubbare, chand saanson mein phool jaate hai ... bas zara si bulandiyan paakar, apni aukaat bhool jaate hai
Kisi ko maaf kar dena bahut badi baat hoti hai
Tumhari oonchi shakhsiyat ... aur sharifana libaas ke peeche chupe shaitan ko main pehchaan chuka hoon
Joh sacha pyar karte hai woh zindagi bhar ke liye naraaz nahi hote ... kuch derr ke liye rooth jaate hai
Kaunsi gutthi hai woh joh humne suljahi nahi ... aaisi fariyaad aaj tak darbar mein aayi nahi
Prithviraj Kapoor
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory