Peetal par sone ka pani chadene se ... peetal sona nahi ban jaata
Saeed Jaffrey
Aag lagane ke liye sirf ek maachis ki teeli bahut hoti hai ... magar usse bhujane ke liye shehar ka saara pani bhi kam padh jaata hai
Unknown
Ek laawaris ko roti ki bheek di jaati hai pyar ki nahi ... usse zillat milti hai lekin apni sachai ko badalne ka mauka nahi milta
Akshaye Khanna
Zameer aur discipline ke binah par kiya gaya faisla kabhi galat nahi hota
Dev Anand
Aurat ka jism toh bikh sakta hai magar uska dil nahi bikh sakta ... uske pyar ka mol nahi lagaya ja sakta
Upasna Singh
Joh doosron ka adhikar cheenane mein kamyab nahi hote ... woh kisi na kisi tarah unki zindagi mein zehar bhar dete hai
Yogeeta Bali
Lalach ke samundar mein dubki lagakar, baimaani ke pani se nahane waale kutte ... pehchan, pehchan main kaun hoon?
Madhoo
Beete dino ki yaad khud hi mitt jaati hai ... usse mitane ki zaroorat nahi padti
Shyama
Ek baar jab rishtey kho jaate hai ... toh woh dhoondne se bhi nahi milte
Amitabh Bachchan
Hum jab bhi kuch hasil karte hai na ... uske saath saath usse khone ka darr bhi hasil karte hai
Tanushree Dutta
Aankh ka andha toh laathi ka sahara lekar tedhe-medhe raaston par bhi chal sakta hai ... lekin akal ka andha seedhe raaste par bhi thokar ka jaata hai
Danny Denzongpa
Arrey duniya waalon ne toh chand tak ko nahi chhoda ... toh ek abla besahara aurat ko kya chhodenge ... duniya ki ungliyan uspar uthti rahengi aur aurat ka dum ghutta rahega
Javed Jaffrey
Duniya mein saare rishte mohabbat ke rishte hote hai ... agar mohabbat hai toh paraye bhi apne ho jaate hai ... agar mohabbat nahi toh khoon bhi khoon ko nahi pehchanta
Randhir Kapoor
Agar bete ka kadh baap se ooncha ho jaaye toh beta apne baap ka baap nahi hota hai ... woh saala bete ka beta hi hota hai
Kader Khan
Vishvas ek bahut hi nazuk sheesha hota hai ... ek baar toot jaye toh dobara judta nahi
Kabhi kabhi koi baat hum mein galat lagti hai ... aur kuch samay baad wohi hum mein sahi lagti hai
Fardeen Khan
Tumne khud mujhe zindagi ke aaise modh par akela chhoda hai ... jahan se aage main badh nahi sakti aur peeche hatne ke kabil nahi rahi
Ashwini Bhave
Joh haath tumhari madad ko uthega ... main us haath ko kaatkar phenk doonga ... joh chhat tum logon ko aasra degi ... main us ghar ko jalakar raakh kar doonga
Dilip Kumar
Pyar aur sadbhavna ki badi se badi deewar bhi ... zindagi aur maut ke beech nahi khadi ho sakti hai
Satyendra Kapoor
Jiske mann mein vasna ho ... woh har kisi ko vasna ke adhin samajhta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory