Gharon ki khidki ho, parde ho ya gate ho ... ya phir shaadi ki date ho ... maare se pooche sivay fix nahi hoti hai
Govinda
Jab cheezein aankhon ke pass ho toh aksar dhundli ho jaati hai ... phir jab door hoti hai toh saaf dikhne lagti hai ... lekin agar bahut door ho jaaye toh bhi dikhna bandh ho jaati hai
Sanjay Mishra
Hamara pyar itna pavitra hai na ... ki agar hum kisi ko dil se chhu dein, toh uska sab bimaari door ho jaaye
Unknown
Tooti huyi gaadiyon ki marammat ho sakti hai ... toote huye rishton ki marammat karna bahut mushkil hota hai
Paresh Rawal
Rishton ko samajhna nahi chahiye ... unhe sirf nibhana chahiye
Dil tootne ki awaaz toh woh log hi sun paate hai ... jinka apna dil kabhi toota ho
Purab Kohli
Jab shareer pe chot lagti hai na toh mooh se gaali nikalti hai ... par jab dil pe chot lagti hai na toh mooh se baddua nikalti hai
Main joh chahta hoon woh paata nahi ... aur joh paata hoon woh sirf ek ittefaq hai
Raaj Kumar
Samundar kitna hi bada kyun na ho kisi ki pyaas nahi bhuja sakta ... aur kuvaan kitna hi chota kyun na ho ... pyaas bhujane ke liye kuven ke pani ki hi zaroorat padti hai
Chup chaap anyay sehna kamzori hai ... magar anyay karne waale ko chetavani dekar muqabale ki ghoshana karke ... mann ki dhirdta se, magar ahinsa se uske anyay ka anth dekhna kamzori nahi, shakti hai
Sudha Chandran
Mujhe sone chandi se nahi ... un baazuon se pyar hai joh do waqt ki roti toh kama sake ... jinko duniya unki mehnat, unke naam se jaane ... jinki peeth par apne A1 baap ke naam ka stamp nahi hota
Twinkle Khanna
Insaan dil ke haathon majboor hai ... aur dil ke haathon kyun majboor hai woh sirf dil jaanta hai ... kyun ki dil, dil hi toh hai
Kader Khan
Jawaani ki pasand ko tajurba aur dil ki pasand ko dimaag agar tol le ... toh thokar nahi lagti
Vinod Mehra
Khandan pe lage kalank pani se nahi ... khoon se dhoye jaate hai
Mithun Chakraborty
Filmy duniya mein insaan ek baar gira ... toh girta hi jaata hai
Khoon bahana bahut aasaan hai ... lekin khoon ko bachana bahut mushkil hai
Pran
Gareebon ka khoon jab saanche mein dhalta hai toh yeh sikka banta hai ... aur jab yeh sikka bazar mein tulta hai ... toh kisi gareeb ke bhai ko kitaabein milti hai, college milta hai ... aane waale sunhere kal ki umeedein milti hai
Aadmi jisko joh samajhta hai woh woh nahi hota ... aur joh hota hai woh nazar nahi aata ... aur joh nazar aata hai woh usse kuch alag hi hota hai
Amrish Puri
Joh vishvas aankhen hote huye bhi aadmi ko andha karde ... unhe mitana zaroori hai
Sanjeev Kumar
Main tumhe bada aadmi samajhta tha ... magar tum sirf amir nikle ... main tumhe apna bhai samjha ... magar tum sirf is shehar ke bhai nikle
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory