Aadmi kitni hi oonchai par kyun na pahunch jaye ... aakash mein ghar nahi bana sakta ... usse sukoon is dharti ki gaud mein hi milta hai
Unknown
Paschatap ke aasoon insaan ke bade se bade paap ko doh dalta hai
Yeh kroadh joh har waqt naak par laga rehta hai na ... yahi kroadh ek din naak katvakar rakh deta hai
Anupam Kher
Jis desh ko hamare buzurgon ne apne pranon ki aahuti dekar azaad karaya ... ussi desh mein in kayaron ki fauj pal rahi hai
Nana Patekar
Hum toh sirf yeh chahte hai sethji ... ki hamara aur aapka amir ya garib ka rishta na rahe ... malik ya mazdoor ka rishta na rahe ... balki hum dono ke darmiyan ek insaan aur insaan ka rishta kayam ho
Dilip Kumar
Ek maa ki fariyad jab woh dil cheerkar, aasunyon se nahakar nikalti hai ... toh joh cheez aag aur tezaab se jalti ... usse jala deti hai
Sheeba
Zindagi ke safar mein joh rasta manzil ki taraf jata hai ... ussi par chalna chahiye
Zeherilay saanp zyada din zinda nahi rehte ... ek na ek din kisi ki laathi uska sar kuchalkar rakh deti hai
Jackie Shroff
Tumhari zindagi chaku ke dhaar se khelti hai ... aur tumhare pankh gundagardi ke dal-dal mein dhasse hai ... jitna nikalne ki koshish karoge, utna hi dhasste jaoge
Shashikala
Zinda rehne ke liye apne sivah kisi aur ka hona bilkul zaroori nahi hai ... aadmi jinke saath jeena chahta hai woh unke bagair bhi jee sakta hai
Om Prakash
Joh jitna ooncha hota hai ... utni hi zor se zameen par girta hai
Sanjay Dutt
Aurat ke daman par agar ek baar daag lag jaata hai ... toh Ganga ka pavitra jal bhi usse nahi dho sakta
Padmini Kolhapure
Kabhi kabhi sambhalkar chalne mein bhi thokar lag hi jaati hai
Rajesh Khanna
Aaj tune is dua dene waale dil ki bhi bad-dua le li ... aur ab tujhe koi nahi maaf karega
Saeed Jaffrey
Woh mohabbat jispar qazi ki mohar na ho ... gunah kehlati hai
Pooja Batra
Zindagi ki kuch baatein itni khoobsurat hoti hai ... joh waqt se pehle nahi batayi ja sakti hai
Nutan Behl
Tu sharaab ki botal hai ... tujhe peekar log apne aap aur apne khandan ko gaaliyan dete hai
Joh aag bhujti nahi ... usse bhuja diya jaata hai
Akshay Kumar
Kisi masoom ka khoon karne se pehle, do second ke liye apne bachchon ke bare mein socho ... kabhi kisi ka khoon nahi kar paoge
Anil Kapoor
Joh tum sun bhi nahi sakti ... usse maine har pal jiya hai
Imran Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory