Meri zindagi sasti ho gayi hai ... aur mera jeena mehenga ho gaya hai
Arshad Warsi
Budhapa bahut buri cheez hoti hai ... aur usse bhi bura hota hai budhape mein akelapan
Ajay Devgan
Jisse samajhta hai, usse mehsoos kar ... aur jisse mehsoos karta hai, usse apna bana
Unknown
Meri nazar padne se pehle isse itni door le jana ... ki hawa bhi iska pata mujh tak na pahuncha sake
Ajit Vachani
Jaane ki baat jaane se pehle kare ... toh taqleef hoti hai
Dia Mirza
Jab insaan ko apni galatiyon ka ehsaas hota hai ... toh bhagwan bhi usse maaf kar deta hai
Inspector sahab aapne ab tak jail ki zanjeeron aur salakhon ka loha dekha hai ... magar Shalu ki himmat ka faulad nahi dekha ... pehna di jiye sar se paon tak loha, kheench di jiye zameen se aasman tak lohe ki deewar ... magar Shalu har deewar ko todh degi
Juhi Chawla
Aadmi aur aadmi ki badnaami mein koi farak nahi hota ... aadmi pehda hota hai, badnaami janam leti hai ... aadmi bada ho jaata hai, badnaami bhi badi ho jaati hai
Kiran Kumar
Shaastra sirf padhne aur sunane ke liye reh gaye hai ... amal ke liye jis dharam aur karam ki zaroorat hai ... usse insaan khud apne haathon se banata hai
Pran
Log aasman se girkar bhi bach jaate hai ... aur marne waale hawa ke jhaunke se girkar mar jaate hai
Padmini Kolhapure
Dushmani aur nafrat se zameen par lakeerein kheenchi ja sakti hai ... dilon par nahi
Akshaye Khanna
Insaan apne maa baap ke naam se nahi ... apne ghuno se achcha ya bura samjha jaata hai
Dilip Kumar
Pyar aur aulad ke bina insaan kabhi khush nahi rehta
Shakti Kapoor
Shuruvat hamesha majboori se hi hoti hai ... yeh majboori ahista ahista zaroorat ... aur zaroorat aadat ban jaati hai
Dharmendra
Confidence aur overconfidence ke beech mein na ... sirf dhaage bhar ka farak hota hai
Mahesh Thakur
Khana hai toh chaata bhi kha lo ... magar byaj ke saath vapas karo
Paresh Rawal
Pyar karne waala insaan apni zabaan se chahe dus jhoot bol le ... lekin uski aankhen kabhi jhoot nahi bolti
Mahima Chaudhry
Yeh dimag hai na is a very fascinating thing ... yeh kab, kahan, kaise humpar chaal chale ... koi bhi nahi bol sakta
Kota Srinivasa Rao
Is duniya mein apne zakhm dikhane nahi chahiye ... varna yeh log marham ki jagah usse namak se bhar dete hai
Rajesh Khanna
Aurat zindagi mein sab kuch baant sakti hai ... apna mangalsutra nahi
Anil Kapoor
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory