Joh log baimaani ke bazaar mein khud kaudiyon ke daam bikke ho na ... woh doosron ki wafaadari ki keemat nahi lagate
Tere baba ne kya diya mereku ... ek lota, ek thali, ek lungi woh bhi phateli, ek potti woh bhi hateli ... arre tu hamesha samajhti mujh ko kamina, hat ja kidhar hai meri Meena
Duniya mein rehna hai toh kaam kar pyare ... haath jodh sabko salaam kar pyare
Tareef toh us khuda ki hai jisne yeh jahan banaya ... jisne aapko ladki waala aur hum mein ladke waala banaya
Zara hum mein bhi batting karne do yaar ... taki hum bhi batayein ki ball stadium ke bahar kaise jata hai
Mera farz is vardi ka mohtaj nahi hai ... yeh vardi toh mehaz ek mayaan hai jis mein main apne farz ki talwar mehfooz rakhta hoon
Dekh is panje ko ... desh bhakti, wafaadari, khuddari, sachai aur mardaangi ka yeh panja agar bhoole se tere thopde par pada na ... toh teri bateesi bahar nikal jayegi
Shaadi byah woh rishta hota hai jisse uparwaala aasman mein tay karta hai ... aur duniya waale sirf rasme poori karte hai
Maine kya kya sapne dekhe the ... byah karke honeymoon karne Switzerland jaonga ... lekin ab toh zindagi mein na switzer hai, na land hai, na honey hai, na moon hai
Aapne insaan banaya achcha kiya, dil banaya bahut bura kiya ... aapne duniya banayi achcha kiya, magar aapne paisa banaya bahut bura kiya
Parbat bola main bada main bada main bada ... sar ooncha kiye sarhad par khada ... bakht bola tu kaise bada ... tere shikhar par toh bhagwan Shankar khada
Sone chandi ke bartano mein khana khane waala amir nahi hota hai ... aircondition caron mein ghoomne waala amir nahi hota hai ... aaise sangemarmar ke bunglay mein rehne waala amir nahi hota hai ... besaharon ko sahara dena waala amir hota hai ... rote hue ko hasane waala amir hota hai ... marne waala nahin, bachane waala amir hota hai
Rajasthan mein oonth chalta hai par kisi ka jhoot nahi chalta
Abhe oye cold drink ke khali botal ke mudhe hue straw ... gissi hui Kolhapuri chappal!
Apna toh aaisa-hich hai ... lade bagair apun zero aur ladke apun hero
Maine iske saath saat phere liye the ... magar yeh saat kadam bhi hamare saath nahi chal payi
I feel every day is a valentine day ... every hour is a valentine hour ... every minute is a valentine minute ... every second is a valentine second
Maine tujhe dhoonda yahan vahan sara jahan kahan kahan kahan ... tu mujhe mili yahan yahan yahan?
Woh ek ko pakadti hai, doosre ko lipatti hai, teesre ko dekhti hai ... aur chauthe ko chedti hai
Dil left mein hota hai magar hamesha right hota hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory