Yeh duniya gham toh deti hai, lekin sharikh-e-gham nahi hoti ... aur is duniya mein kisi ke door jaane se na, mohabbat kam nahi hoti
Agar mere maa baap ko kuch hua na ... kaat daloonga
Ummeed ka diya toh zindagi ka diya bujhne ke baad hi bujhta hai
Achchi soorat bhi kya buri shai hai ... jisne daali buri nazar daali
Main zindagi hoon toh Sona saansein ... main agar dil hoon toh Sona dhadkan ... main agar pyaas hoon toh Sona pani ... main agar phool hoon toh Sona khushboo ... main agar dard hoon toh Sona aaahhh
Rehne ke liye duniya ki sabse sundar jagah insaan ka dil hota hai ... tum hamare dil mein reh lena, hum tumhare dil mein reh lenge aur hamare bachche hum dono ke dil mein
Aap log isse poochiye, iske dhadakte dil se poochiye ... zameen se poocho, aasman se poocho, hawaon se poocho, fizaon se poocho, andheron se poocho, ujalon se poocho, chaand se poocho, sitaron se poocho, aandhi se poocho, toofan se poocho ... mujhe se poocho, mere baap se poocho, isse poocho, iske baap se poocho, mere ghar ke char char cartoon se poocho ... arre main kehta hoon aur toh aur in pattiyon se poocho, in pattiyon ke peeche jalti hui battiyon se poocho, is bikhare hue kaleen se poocho, girre hue tambu se toote hue bamboo se poocho ... poocho us zarre zarre tinke tinke se kitna pyar kiya hai main ne isse?
Uparwaale ki lathi mein awaaz nahi hoti
Sharaab bhi aaisi cheez hai ... koi gham mein peeta hai toh koi khushi mein ... magar main sharaab is liye peeyonga ... ki ab na gham raha na khushi
Joh log baimaani ke bazaar mein khud kaudiyon ke daam bikke ho na ... woh doosron ki wafaadari ki keemat nahi lagate
Chand biwiyan drawing room mein pade hue us TV ki tarah hoti hai ... unko jab on karo purana program chal raha hota hai ... tum toh internet ho ... jab on karta hoon, ek nayi site dikhai deti hai
Yahan wahan sare jahan mein hamara raj hai ... jawani toh deewani zindabad hai
Amiron ke gharon ki deewaron mein roshni aane ke liye bahut si khidkiyan hoti hai ... magar gareeb ke ghar mein toh roshni tabhi aati hai ... jab us bechare ke ghar ki deewar girti hai
Tareef toh us khuda ki hai jisne yeh jahan banaya ... jisne aapko ladki waala aur hum mein ladke waala banaya
Bhagwan ne aapko daulat toh zaroorat se zyada di hai ... magar dil dene mein thodi si kanjhoosi kar gaya
Ek ladki joh chhat se apne papa ko dhakel de, usse ka kehte hai batao? ... push-paa!
Pehle paisa insaan ke haath ki mail hua karta tha ... aur aaj insaan ke haath mail mein paisa dhoondte hai
Aulad ki judai ka dard ... maut ke dard se bhi zyada hota hai
Zara hum mein bhi batting karne do yaar ... taki hum bhi batayein ki ball stadium ke bahar kaise jata hai
Dekh is panje ko ... desh bhakti, wafaadari, khuddari, sachai aur mardaangi ka yeh panja agar bhoole se tere thopde par pada na ... toh teri bateesi bahar nikal jayegi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory