Agar tune meri zindagi ki taraf aankh uthakar bhi dekha ... toh teri zindagi mein aaise aaise scene likh doonga ... joh na tune kabhi dekhe honge na sune honge
Hum gunde hai aur jab tak hum hamare andar ke gunde ko khatam nahi karenge ... tab tak samaaj mein gundagardi khatam nahi hogi
Zindagi kisi ek ke ho jaane ka naam hai ... kisi ko lootne ka nahi ... kisi pe lut jaane ka naam hai
Noton ki gaddiyan mooh mein lekar bhaunkne waalon ki ... hum mein koi parwah nahi
Zindagi ke imtehan mein aaise mauke bhi aate hai ... jab insaan ko sachchai chupani padti hai
Tujhe chahiye desi ilaaj aur woh ilaaj karega yeh desi haath
Yeh gaon nahi shehar hai ... yahan darindon ko sher ki tarah bahaduri se nahi, shikari ki tarah jaal dalkar maara jata hai
Is desh mein insaaf kachhue ki chaal chalta hai
Roti ka chakka jab kuchalta hai na ... toh sabse pehle moolya, siddhant, kuchle jaate hai
Bimari aur jurm ... chupane se dono badte hai
Insaan halaat ke bas mein hota hai ... halaat insaan ke bas mein nahi hote hai
Dimaag ki charbi ke saath saath main badan ki charbi bhi nikal deta hoon
Samjhana aise chahiye ... ki samajhne wala samajhne ke liye khada bhi na rahe
Agar tumne ek kadam bhi aur badaya ... toh aaj ke baad tum apne pairon se nahi chal sakoge
Main goli aur boli dono zubaane jaanta hoon
(Kaun hai be tu?) - Jaan ki keemat jankar bhi jaan ko zokhm mein daalne wala ... main jaat hoon
Agar kisi ne tilbhar bhi hilne ki koshish ki ... toh sabke sar jism se alag kar doonga
Farz ki keemat is vardi se shuru hoti hai ... aur kafan ke saath khatam hoti hai
Main is mitti se bana jaat hoon ... joh sabko khilane ke baad khud khaata hai ... joh akela lakhon ke saath ladh jaata hai ... joh apni maa, pariwar aur bachon ki hifazat karta hai ... aur jab yeh jaat fauji ban jaata hai ... toh is mein jhande ka garv aur abhimaan hota hai
Tum log is vardi ke layak nahi ho ... yeh vardi janta ki taqat hai, vishvas hai, bharosa hai ... janta ne tumhe yeh vardi di hai taaki tum unki raksha kar sako ... aur tum logon ne dushmano ke saath milkar is vardi ki taqat ka galat istemaal kiya hai ... band karo yeh police station, utaar do apni vardi, and surrender yourselves
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory