Agar maine murdabad ka naara bhi laga diya na toh mere mulk ki shaan kam nahi hogi ... humara tiranga asmaan mein lehra raha hai aur woh lehrata hi rahega ... agar har Pakistani ne Hindustan murdabad ka naara bhi lagaya na ... toh unki awaaz hamare border tak bhi nahi pahunchegi ... aur agar har Hindustani ne zindabad ka naara lagaya ... toh uski awaaz ki goonj tum sabko phaad degi ... Hindustan zindabad!
Agar yahan ke logon ko dobara mauka mile na Hindustan mein basne ka ... toh aadhe se zyada Pakistan khali ho jayega ... tumhara yeh siyasipan tumhe bhikhari bana dega ... katora lekar ghoomoge, bheekh bhi nahi milegi
Hindustan Musalmano ka hai, Hindustan Christiano ka hai, Sikho ka hai, Hinduo ka hai ... har Hindustani ka hai ... aur in sabne milkar azaadi ki ladai ladi hai, qurbaniya di hai
Agar apne Rasool ke raste pe chalta na toh ghazwa-e-hind nahi, jazba-e-hind ki baat karta ... aur duniya ek jannat hoti
Main bhi wohi karta hoon joh upar waala kehta hai ... woh nahi joh yeh upar waale kehte hai
Insaan joh karam karta hai ... unhi karamon ki karmi milti hai usse
Mera muhafiz hai khuda, toh phir hai kaun joh mujhko utha sake ... teri kya aukaad hai, joh jahaan se mujhe mitta sake
Gunaah ke keechad mein begunaahi ke kamal kabhi nahi khil sakte
Charitra aadmi ko banata hai ... kapde nahi
Sachai ke saath saath agar kuch chahiye toh woh hai sansani ... yehi hai aaj ki sachai
Maut roz toh nahi aati, sirf ek baar aati hai ... aur uska din aur samay bhagwan muqarar karta hai ... darwaaze pe cheekne waala dushman nahi
Kutte ko izzat di jaye toh use pichli seat pe bithaya jata hai ... par koode ko bori mein daalkar dicki mein patka jata hai
Kabhi kabhi bada sach samne laane ke liye, chota jhooth bolna galat baat nahi
Main tumhe bahut pyar karta hoon ... itna jitna suraj karta hai apni kiranon se, chand karta hai apni chandni se, phool karte hai apni khushboo se
Agar tune meri zindagi ki taraf aankh uthakar bhi dekha ... toh teri zindagi mein aaise aaise scene likh doonga ... joh na tune kabhi dekhe honge na sune honge
Ghar na toh char deewaron ka naam hai aur na un char deewaron ke andhar rehne waalon ka ... ghar toh us pyar ka naam hai joh hawaon mein ghula hua hai
Hum gunde hai aur jab tak hum hamare andar ke gunde ko khatam nahi karenge ... tab tak samaaj mein gundagardi khatam nahi hogi
Zindagi kisi ek ke ho jaane ka naam hai ... kisi ko lootne ka nahi ... kisi pe lut jaane ka naam hai
Noton ki gaddiyan mooh mein lekar bhaunkne waalon ki ... hum mein koi parwah nahi
Zindagi ke imtehan mein aaise mauke bhi aate hai ... jab insaan ko sachchai chupani padti hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory