Pyar karne waalon ke tarane goonjte rahenge ... aur mitt jayenge pyar ko mittane waale
Unknown
Rab ne awaaz bhakshi hai ... awaaz nahi, mehar hai ... soch badalne ki taqat hai tum mein
Anushka Sharma
Yehi hai woh hasti jisne tumhe kamyabi ki woh seediyan taaki joh sitaron se bhi upar jati hai ... yehi hai woh jisne shauharat ka aasman baksha hai tumhe ... apne dard ko shabdon mein goond kar tumhare sangeet ko zindagi deti rahi
Suresh Oberoi
Hum bajaye toh kaano mein pain ... aur yeh paade bhi toh Tansen
Arre janaab, aaj kal toh music companyon ko ghazal ki dhun bhi disco jaisi chahiye
Naseeruddin Shah
Hum bahut bada sangeetkar, kalakar ... lekin aaj kal ekdum bekaar
Satish Kaushik
Bande qaid ho sakte hai ... soch nahi, sangeet nahi
Farhan Akhtar
Meri zindagi ek saaz ban gayi hai ... aur iske har taar par sirf tumhare hi pyar ka geet gaya ja sakta hai
Hema Malini
Sangeet woh daulat hai jisse duniya ka koi chor chura nahi sakta, koi daaku loot nahi sakta ... sangeet woh jadoo hai jiske samne duniya ka har jadoo beqaboo ho jaata hai
Shashi Kapoor
Hum honge, lights hogi, ek huge audience hogi ... aur hogi music jiske har beat mein, har note mein zindagi hogi ... zindagi
Luke Kenny
Aapke anurodh pe main yeh geet sunata hoon ... apne dil ki baaton se aapka dil behlata hoon
Rajesh Khanna
Kishore Kumar ka gaana aur Bharat ka rashtra geet ... inhe kabhi aadhe chhodkar nahi jaate
Tusshar Kapoor
Usse dekhte hi dil mein sainkado ghantiya Dolby Digital mein bhajne lagi baar baar ... mil gaya mujhe mera life long pyar
Omi Vaidya
Seeti toh woh saaz hai joh insaan ke dil se nikalti hai ... aur saason ki taaron se bajhti hai
Jackie Shroff
Naari aur sangeet ka bahut kareeb rishta hai ... dono mein narmi hai, loch hai, lachak hai, dard hai, soz hai, tadap hai, khichav hai, kashish hai
Dharmendra
Main "gaa" bajhata hoon toh "saa" bajhta hai, main "paa" bajhata hoon toh "maa" bajhta hai ... yane ki main kuch bhi bajha saku, usse pehle meri bajh jaati hai
Paresh Rawal
Main nahi gaati, meri mohabbat gaati hai ... main nahi naachti, kisi ke liye mera dil naachta hai ... aur yeh tab hota hai jab mera mehboob mere paas ho
Bina Rai
Awaaz aur suron ka mazaa tabhi aata hai ... jab geet ke bol achche ho
Yahan bansuri ki bhasha koi nahi samajhta ... yeh duniya sirf lathi ki bhasha samajhti hai ... sirf lathi ki
Amrish Puri
Music mere liye tarakki ki CD (seedi) hai
Ritesh Deshmukh
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory