Tumhare bagair meri sargam adhoori hai, mere geet adhoore hai ... tum hi mera sangeet ho
Bharat Bhushan
Aisi koi bhi problem nahi hai joh ek Mohanlal ka gaana aur ek kadak cup chai solve nahi kar sakti
Janhvi Kapoor
Music ki koi language nahi hoti hai ... music ek ehsaas hai, ek feeling hai, ek emotion hai
Sidharth Malhotra
Sangeet ke liye masti ki zaroorat hoti hai, aur mast hone ke liye sangeet ki ... aur kavi banne ke liye sangeet ki bhi aur masti ki bhi
Dev Anand
Main Mohammed Rafi toh nahi ban saka ... lekin tereko Lata Mangeshkar zaroor banaunga
Anil Kapoor
Band banane ke liye tun-tune baaje na lagte hai ... bande lagte hai ji, joh ek dhun gaa sake
Farhan Akhtar
Sangeet cheez hi aaisi hai ... joh us mein kho nahi jaata woh usse paa bhi nahi sakta
Unknown
Meri haseen mehfil mein, ishq patthar hai aur kuch bhi nahi ... apne nagamo se zindagi de isse, ya mitta apni zindagi bhi yaheen
Manushya ke jeevan mein sangeet ka staan asadharan hai
Subbiraj
Bansuri ke chhed ungliyon se chupakar jaise sur nikalte hai ... apne zakhmon ko muskurahat se chupakar duniya mein khushi baatna shuru ki jiye
Sheeba
Soz jab dil mein utar aata hai ... nagma aankhon se nazar aata hai
Naseeruddin Shah
Mausiki ki taseer aaise dil se nikalti hai ... joh paakh saaf ho
Kiron Kher
Hum apne pote ka dada banenge ... tabla, sarangi aur baja banenge
Om Prakash
Sangeet hridhay se hridhay ka sambandhit hota hai ... atma ko ooncha uthata hai ... bhair ko prem mein badal deta hai
Ladki ke dil mein vishvas ka diya jalane ke liye sirf Shammi Kapoor style mein ganaa gana kaafi nahi hota ... Dilip Kumar aur Raaj Kumar ki tarah emotional scene bhi karne padte hai
Anupam Kher
Bachpan mein tu jab rota tha tab log samajhte the ki tu sur mein gaa raha hai ... aur ab main jab gaata hoon toh log samajhte hai ki main ro raha hoon
Anoop Kumar
Abhe oh tan-tambure ... barsaati kan-khajure!
Rajendra Nath
Jis tarah sur aur taal ke bina sangeet poora nahi hota ... ussi tarah tum dono ek doosre ke bagair adhoore ho
Aruna Irani
Is maahol ko mann mein dubaiye ... andar se lehar uthaiye ... aur hoothon se geet gungunaiye
Madhoo
Radio bhi badal badalkar record bajata hai ... lekin tum wahi ek record bajaogi
Nazir Hussain
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory