Yeh sansar hai, yahan har ek ko koi na koi dukh hai ... lekin sacha insaan wohi hai joh apne dukh ko daba le, aur doosron ko sukhi rakhne ki koshish kare
Madan Puri
Koi bolta hai think about the future ... koi kehta hai past ke hisaab se chalo ... main maanta hoon, be in the moment
Kartik Aaryan
Jiske paas hunar ki daulat ho woh kisi daulat ka bhookha nahi hota
Rajendra Kumar
Burbak hona sharam ka baat nahi hai ... burbak hone pe garv karna, ee sharam ka baat hai
Unknown
Apne aasun khud poch ... koi aur pochega toh ek din sauda karega
Insaan jab rota hai na toh akela rota hai ... aur jab hasta hai toh sari duniya uske saath hasti hai
Gyaan leke chalo, samaan nahi
Prakriti hai toh pragati hai
Varun Dhawan
Vadam vadam par likha hai khane wale ka naam ... aur kadam kadam par likha hai aage badne wale ka naam
Salman Khan
Duniya ke raste bade kathin hote hai ... lekin tum nirash na hona, himmat na harna ... koshisho ke pedho par hi kamyaabi ke phal lagte hai
Alok Nath
Mauka sirf aata nahi hai, cheena bhi jaata hai
Hrithik Roshan
Jahan na pahunche ravi, wahan pahunche kavi
Richa Chadda
Galati toh har insaan se hoti hai ... par maafi ka asli haqdar wohi hota hai joh galati karke pachtaye
Danny Denzongpa
Jis tarah kuch log doosron ke liye marte hai ... ussi tarah kuch ko doosron ke liye jeena padta hai
Jackie Shroff
Har kranti, har inquilab mutthi bhar logon se shuru hota hai ... aur dekhte hi dekhte hazaron lakhon mein aasman ki oonchai tak phail jaata hai
Zindagi akele kaatne mein no fun ... koi na koi saathi hona chahiye ... joh tumhare samajh mein aaye aur jise tum samajh sako, woh saathi ... aur us saathi ke saath jitne pal guzaar liye ... that's life
Mandira Bedi
Shareer ke botal mein jawani ka khoon joh hai woh sode ki tarah ubal raha hai ... kyun ki jawani rang hai, bahaar hai, khumaar hai, suroor hai, guroor hai ... ashaon ka khilna hai, mann ka milna hai, mann ki mannat hai, dil ki jannat hai
Kader Khan
Makkaron se kabhi mat daro ... daro toh apne aap se ... aur daro toh dar darke zinda rehne se
Boman Irani
Jeene ki chah se badkar na koi dawa hai na dua
Anant Mahadevan
Anyay joh kare aur anyay joh sahe ... tumhari grihna usse ghaas ki tarah tahe
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory