Aal izz well ... Aal izz well
Aamir Khan
Babumushoi, zindagi badi honi chahiye ... lambi nahin
Rajesh Khanna
Hum toh falak ke taare the ... zameen pe aaye toh pehchaan payi, mazhab paya, rang paya, zubaan payi ... hum nikle the jannat dhoondne ... par har modh pe, har makaam pe, nafrat jung aur sarhad payi ... par apne tevar ka sikka ek din chalega zaroor ... khoon ubaal marega zamana badlega zaroor ... khud ko buland karenge ... rab ke bandhe hai hum ... gunday the, gunday hai, gunday rahenge hum
Ranveer Singh
Duniya mein do tarah ke log hote hai ... winners and losers ... lekin zindagi har loser ko woh ek mauka zaroor deti hai ... jis mein woh winner ban sakta hai
Shahrukh Khan
Log saath saath is liye nahi rehte kyun ki woh bhool jaate hai ... log saath is liye rehte hai kyun ki woh maaf kar dete hai
Unknown
Agar tum galat raaste par chaloge ... toh ho sakta hai shuruvat mein tumhe bahut kamyabi mile, bahut khushiya mile ... magar anth mein tumhari haar hogi ... aur agar sahi raaste par chaloge ... toh bhale hi shuruvat mein tumhe kadam kadam par thokarein mile, musibaton ka samna karna pade, pareshani ho ... magar anth mein hamesha jeet hogi
Khoobsurati toh dhal jaati hai ... personality toh maut ke baad bhi zinda reh jaati hai
Aishwarya Rai
Jis mohabbat mein deewangi na ho ... woh mohabbat hi nahi
Katrina Kaif
Tumhare paas joh hai tumhare hisaab se kam hai ... lekin kisi doosre ke nazar se dekho ... toh tumhare paas bahut kuch hai
Ek bas seene mein dil chahiye ... aap poori kaiyanaat se ladh padoge
Aditya Roy Kapur
Main raaste badalta nahin hoon ... raaste banata hoon
Emraan Hashmi
Joh duniya ko namumkin lage ... wahi mauka hota hai ... kartab dikhane ka
Jackie Shroff
Kya sametega hum mein yeh waqt ka gehra dariya, hum kinaro se ubharne ka hunar jaante hai ... seedhe haatho ne joh kheenchi hai lakeerein tedhi, un lakeeron par chalne ka hunar jaante hai
Akshay Kumar
Yeh Musalman ka khoon yeh Hindu ka khoon ... bata is mein Musalman ka kaunsa Hindu ka kaunsa, bata!
Nana Patekar
Asli pehalwan ki pehchaan akhade mein nahi, zindagi mein hove hai ... taki jab zindagi tumhe patke toh tum phir khade ho ... aur aaisa daanv maro ki zindagi chitt ho jaye
Salman Khan
Zinda hai woh log joh maut se takrate hai ... murdon se bhattar hai woh log joh maut se gabrate hai
Kader Khan
Agar tune aaj give up kiya ... toh shayad bahar se zinda reh jaye ... magar andar se mar jayega hamesha ke liye
Anushka Sharma
Jab jab dard ka baadal chaya, jab gham ka saaya lehraya, jab aasoon palkon tak aya, jab yeh tanha dil ghabraya ... humne dil ko yeh samjhaya, dil aakhir tu kyun rota hai ... duniya mein yunhi hota hai ... yeh joh gehre sannate hai, waqt ne sabko hi baante hai ... thoda gham hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa ... aankh teri bekaar hi namm hai, har pal ek naya mausam hai ... kyun tu aise pal khota hai, dil aakhir tu kyun rota hai
Farhan Akhtar
Kisi bhi ladai mein haarta woh nahi joh girta hai ... balki woh joh girke uthta nahi hai
Sharman Joshi
Ek baap agar apne bete ki zindagi ka pehla kadam uthane mein uski madad kar sakta hai ... toh wahi beta apne baap ke aakhri kadam uthane mein usse sahara kyun nahi de sakta?
Amitabh Bachchan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory