Hum hi hum hai toh kya hum hai ... tum hi tum ho toh kya tum ho
Sunny Deol
Yeh Bambai hai ... aur yahan sapne us hi ke poore hote hai ... jinki aankhen khuli rehti hai
Imran Khan
Gufaa mein andhera kitna hi ho ... kinaare pe roshni zaroor hoti hai
Randeep Hooda
Don't let the past blackmail your present ... to ruin a beautiful future
Shahrukh Khan
Confidence khel mein jaan zaroor dalta hai ... lekin overconfidence jaan le leta hai
Paresh Rawal
Koi bhi dhanda aadmi ki himmat se bada nahi hota
Emraan Hashmi
Ek Catholic aurat Pradhan Mantri ki kursi ek Sikh ke liye chod deti hai ... aur ek Sikh Pradhan Mantri pad ki shapath ek Muslim Rashtrapati se leta hai ... us desh ki bhag daud sambhalne ke liye jisme assi pratishad log Hindu hai
Akshay Kumar
Genius woh nahi hota jiske paas har sawaal ka jawab ho ... genius woh hota hai jiske paas har jawaab tak pahunchne ka patience ho
Alia Bhatt
Tum kya leke aaye the ... aur kya leke jaoge
Sanjay Dutt
Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, nazar mein khwabon ki bijliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum ... hawa ke jhokon ke jaise aazad rehno seekho, tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho ... har ek lamhe se tum milo khole apni baahen, har ek pal ek naya samha dekhe yeh nigaahen ... joh apni aankhon mein hairaaniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
Farhan Akhtar
Jab tak zinda hoon tab tak mara nahi ... jab mar gaya sala main hi nahi
Rajesh Khanna
Bade se bada business ... paise se nahi, ek bade idea se bada hota hai
Shahid Kapoor
Koi tumhe tab tak nahi hara sakta ... jab tak tum khud se na haar jao
Salman Khan
Kabhi kabhi hum mushkil rasta sirf is liye chunte hai ... kyun ki humein lagta hai, important cheezein paane ke liye humein mushkil rasta apnana chahiye ... apne aap ko punish karna bahut zaroori samajhte hai ... but why, aasaan rasta kyun nahi chun sakte ... kya burai hai us mein ... khaas karke jab us mushkil ka saamna karne ke liye hum taiyaar hi nahi hai
Humko mitta sake yeh zamane mein dum nahin ... humse zamana khud hain ... zamane se hum nahin
Raaj Kumar
Giro saalo giro, lekin giro toh us jharne ki tarah ... joh parbat ki oonchai se girke bhi apni sundarta khone nahi deta ... zameen ke teh se milke bhi apni astitva ko narth nahi hone deta
Nana Patekar
Mujhe states ke naam na sunai dete hai na dikhai dete hai ... sirf ek mulk ka naam sunai deta hai I-N-D-I-A
Maangi hui cheez lautani parti hai Sir ... main kamana chahta hoon
Sidharth Malhotra
Insaaniyat ka mazhab har mazhab se ooncha hota hai
Meri maa ne kaha tha ... ki jab bhi koi buzurg tum par haath uthaye, toh uska jawab muskurakar dena
Govinda
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory