Yeh zindagi chal toh rahi thi ... par tere aane se maine jeena shuru kiya
Main marne ke liye nahi peeta ... peene ke liye marta hoon
Pyar, mohabbat, aashiqui sirf lafzon ke sivah aur kuch nahi ... par jab woh mili ... in lafzon ko mainne mil gaye
Main aaine mein apna chehra bhool sakta hoon ... tumhara kabhi nahi
Yeh aadat ab nahi jaane waali hai ... yeh toh woh biwi hai joh saath rehkar satayegi aur talaq bhi nahi degi
Qayamat bhi kya cheez hai ... na dastak, na aaghaaz ... jab mann kiya sar uthake aa jaati hai aur sab jalakar raakh kar deti hai
Shaurat, naam, kamyabi, paisa, izzat ussi ko milni chahiye jise uski kadar ho ... roti ussi ko milni chahiye jise uski bhook ho
Duniya ke sabse behtareen aur mashoor kalakar woh log hote hai jinki apni ek ada hoti hai ... woh ada joh kisi ki nakal karne se nahi aati ... woh ada joh unke saath janam leti hai
Apni kamyabi ko itna chota mat samjho ... sirf naseeb waalo ko naseeb hoti hai yeh
Main us tarah ki ladkiyon se is tarah ki baatein nahi karta
Mujhe tumse tumhari cash value ke liye nahi tumhari apni value ke liye shaadi karni hai ... tumhari friendship ki value, tumhari beauty ki value, tumhari hassi ki value
Jinhe kuch nahi chahiye hota hai na ... woh apna kaam bahut zimmedari se karte hai
Ek bas seene mein dil chahiye ... aap poori kaiyanaat se ladh padoge
Khuda ki barkat hai mohabbat ... mohabbat karo toh toot ke, bina khauf ke, bina sharm ke, bina soch ke ... agar jeet gaye toh kya kehna ... haare bhi toh baazi maat nahi
Chaand ko chuhne ka waqt aah gaya hai
Maine kausa expect-hich kiya ke mujh jaise pede ko tum jaisi rasmalai milegi
(Yeh joh hum kar rahe hai, yeh theek hai) ... Ghor paap hai ... lekin yeh paap na baar baar karne se dhul jaata hai
Shaadi pyar ka the end hai
Khud se azaadi toh sirf maut hi de sakti hai ... ya phir ishq
Pyar bhi ajeeb janwar hai ... chabuk taan do, bhookha maar do, zinda gaad do ... par kambakht baaz nahi aata
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory