Har insaan ke jeevan mein do din important hote hai ... ek jab woh pehda hota hai ... aur doosra jab usse pata chalta hai ki woh kis liye pehda hua tha
Dalip Tahil
Vishvaas aur confidence, jab yeh do tumhare saath ho na ... toh raaston ko dekhne ki zaroorat nahi padti
Hrithik Roshan
Joh joh tumne apni mehnat se dhoonda hai aur himmat se paaya hai ... asli maza ussi mein aaya hai
Bharti Singh
Lakhon karodon sapno mein kabhi kabhi ek sapna sach bhi hota hai ... aur us sapne ko sach karne ke liye mehnat aur vishvas chahiye ... kyun ki zindagi kabhi na kabhi hum mein chance deti hai
Genelia D'Souza
Insaan hamesha do zindagiya jeeta hai ... pehle jab woh zindagi jeena seekhta hai ... aur doosri jab seekhi hui zindagi jeeta hai
Amrita Rao
Insaan anubhav se hi toh seekhta hai ... first play along the game and then decide how to play the game
Jackie Shroff
Society criminals ke kuch karne se barbaad nahi hoti ... society tabaah hoti hai ek capable aadmi ke kuch na karne se
Shruti Haasan
Bina khaddon ke raste nahi hote ... aur bina dukh ke zindagi
Ranbir Kapoor
Dimaag aur dil jab ek saath kaam karte hai na ... toh farak nahi padta hai ki dimaag kaunsa hai aur dil kaunsa hai
Naseeruddin Shah
Log jahan par soochna band kar dete hai ... main wahan se soochna shuru karta hoon
Kabir Bedi
Bura joh dekhan main chala, bura na milya koye ... joh mann khoja apna, toh mujhse bura na koye
Kangana Ranaut
Apne raaste par chalte raho, chalte raho ... dheere dheere sari duniya tumhare raaste par aa jayegi
Farhan Akhtar
Agar insaan ke dil mein yakeen ho ... toh woh chataan bhi hila sakta hai
Om Puri
Har woh aadmi joh galat dekhkar aankhen nahi pherta ... woh Gabbar hai ... joh ghoos dene waale ko ghus-ghuske maare ... woh Gabbar hai ... joh sarkari aadmi aircondition room mein behatkar logon ko tang karte hai, unka pasina chhudvaye ... woh Gabbar hai
Akshay Kumar
Joh chala gaya usse bhool ja ... joh aa raha hai usse pyar kar
Anil Kapoor
Kis liye lade jung, kis liye hai yeh hathyaar ... dushmano ko bhi bana de dost, aisa hai yeh pyar
Rajinikanth
Chaata maarna aasan hai ... maafi mangne ke liye himmat chahiye beta
Unknown
Apne hi paani mein pighal jaana barf ka muqaddar hota hai
Jisne dil pe zakhm khaye ho, woh is zakhm se kya gabrayega ... peeye ho jisne khoon ke aasoon, kya woh is khoon se mar jayega
Mukesh Khanna
Har insaan ka apna safar hota hai ... thodi der ke liye kisi aur ke saath judh jaane se ... uska safar apna nahi ho jaata hai
Deepti Naval
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory