Chulhe se roti nikale ke liye, chimte ko apna mooh jalahe padi
Aamir Khan
Oonchai par pahunch kar hi hum, jeevan ke naye raaston ko dekh paate hai
Akshay Kumar
Apahij woh nahi jiska koi ang na ho ... apahij woh hai joh apne ang ka istamaal na kare ... doosron ki madad na karne wale haath apahij hai ... zulm ko dekhkar mudne wali aankh apahij hai ... maa baap ko chhodkar bhaagne wale paanv apahij hai
Sonakshi Sinha
Burai ek zehar ki tarah hoti hai, joh bahut jaldi phail jaati hai ... aur achchai dawa ki tarah, joh waqt toh leti hai lekin asar zaroor karti hai
Mahesh Thakur
Achchai se hi burai ko maara ja sakta hai ... neki se hi baddi ko mitaya ja sakta hai ... shanti se hi kisi ki mann ki jalan ko hataya ja sakta hai
Aadmi ko subah jaldi uthna chahiye ... varna saare kaam adhoore reh jate hai
Saif Ali Khan
Inquilaab ke liye kurbaanio ki zaroorat hoti hai ... khoon ki zaroorat hoti hai
Bobby Deol
Duniya mein yun aana, duniya se yun jaana ... aao toh le aana, jao toh de jaana ... yaadein, yaadein, yaadein
Jackie Shroff
Tumhari zindagi mein ek din aisa zaroor aayega, jab tum neend se jagogi aur apni life ko phir se rewind karke jeena chahogi ... par tab waqt nahi hoga ... humein jeena hai toh aaj jeeye, ab jeeye, ek doosre ke saath jeeye ... taaki life phir kabhi rewind karne ki zaroorat na pade
Pulkit Samrat
Har zindagi ka apne hisse ka dard hota hai ... jitna zaldi usse jeetna seekh lo, toh achcha hai
Kanwaljit Singh
Log burre thodi na hote hai ... achche logon par bas burra waqt aa jaata hai
Rani Mukherjee
Duniya pehle se hi ek masterpiece hai ... uske baare mein paitings banane se achcha hai ... uski hifazat karo, usse pyar karo
Emraan Hashmi
Lehron ke saath toh koi bhi tair leta hai ... par asli insaan woh hai joh lehron ko cheerkar aage badta hai
Dalip Tahil
Life mein jab bhi kisi bhi cheez se dar lage ... toh uske samne khade ho jaao ... dar khud bahut darpok hota hai ... uski aankhon mein aankhen dalke dekho, darke bhaag jaata hai
Unknown
Aakhir soch soch ki hi toh baat hai ... kyun ki, kyun aur kyun nahi mein bas soch bhar ka hi faasla hai
Yeh sach hai ki calendar har tareek ko badalta hai ... lekin ek tareek aisi bhi aati hai joh calendar ko hi badal deti hai
John Abraham
Maa is dharti ka sabse mahaan sukh hai .. maa prem ki murat hai ... maa ki parchai mein mamta hai ... maa bhagwan ka doosra roop hai ... maa ke pairon tale swarg hai
Rakhee Gulzar
Bhagwan ke ghar mein dher hai ... andher nahi
Shauk do tarah ke hove hai ... ek toh woh joh samay ke saath khatam ho jave hai ... aur duja woh joh samay ke saath maqsad ban jave hai
Irrfan Khan
Log tumhe is liye pyar nahi karte hai kyun ki tum special ho ... balki tum special ho kyun ki duniya mein kuch log tumse beintehaa pyar karte hai ... sometimes despite the way you are
Sharmila Tagore
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory