Koi jee ke kaam aata hai, koi marke kaam aata hai ... tum jee ke bhi kaam aayi aur marke bhi
Ajay Devgan
Dooriyan jab badti hai ... toh nazdeekiyan bhi phir utni hi ghatti hai
Unknown
Kuch baatein aaisi hoti hai joh kahi nahi jaati ... sirf samjhi jaati hai
Kisi aur se pyar karne se pehle, khud se pyar karna seekho ... long term mein yahi kaam aayega
Imran Khan
Apni beti ko toh main sirf is desh se door bhej raha hoon ... magar aaj ke baad Sapna ka naam bhi teri zubaan pe aaya ... toh main tujhe zindagi se door bhej doonga
Kiran Kumar
Zindagi mein galati aur gunaah, har ek se hota hai ... magar gunaah karne ke baad usse chupana, usse bhi bada gunaah hai
Mohan Joshi
Jab baazi dukki aur tikki se jeeti ja sakti hai ... toh uske liye ekka nikalne ki kya zaroorat hai
Sadashiv Amrapurkar
Puja ke diye se agar haath jal jaaye ... toh woh jalan bhi chandan jaisi thandak deti hai
Padmini Kolhapure
Sachchai ke aasoon se dil pighla karte hai ... tum jaise patthar nahi
Saif Ali Khan
Ehsaas badal jaane se taqdeer badal nahi jaati
Celina Jaitly
Inteqaam ek aaisi sharaab hai ... yeh jitni purani hogi iska nasha utna hi tezz hoga
Feroz Khan
Sachchai ki ladai mein marne waala hamesha zinda rehta hai
Dev Anand
Jung mein jab shoot karne ka order dete hai toh, kab kahan kaise uska toh pata hota hai magar kyun ... fauji ko na yeh batate hai, na usse janane ka haq hota hai
Javed Jaffrey
Bahut log is rupaiye ke peeche bhaagte hai ... lekin chand aaise hote hai jinke peeche rupaiya bhaagta hai
Raaj Kumar
Chalaaki karne waala khud hi apni chalaaki ka shikaar ho jata hai
Joh na kar paye bandook ki goli ... woh kar jaye bas ek meethi boli
Vivek Oberoi
Jaane do isse ... is waqt yeh khudgarzi ke ghode pe savar, barbaadi ke toofan mein udhta hua chala ja raha hai ... aur aaise sawar ko waqt ke thappad aur zamaane ki thokar ke sivah koi nahin rok sakta hai
Kader Khan
Nadi shokh, chanchal aur khoobsurat hoti hai ... lekin badnaseeb insaan ki gandagi is mein behti rehti hai
Meri shaadi mere jeevan ka sabse bada abhishaap hai
Rajesh Khanna
Beta jab jawan ho jaata hai toh woh apne baap ke swabhiman ko ... abhiman samajhne lagta hai
Amitabh Bachchan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory