Tumne gareeb dekhe honge ... gareebi nahi
Karisma Kapoor
Aadmi pahad ki choti se girkar khada ho sakta hai ... magar kisi ki nazar se girkar nahi khada ho sakta
Twinkle Khanna
Aaj tak aaisa koi amir pehda nahi hua ... joh kanoon ka maalik ban sake
Vinod Khanna
Der se mila hua insaaf khud ek na-insaafi hai
Ajay Devgan
Aurat toh narm matti ki bani hoti hai ... kabhi bhi toot sakti hai
Raaj Kumar
Hum galati kare toh maafi maang lete hai ... koi doosra galati kare toh insaaf maangte hai
Veena Malik
Akalmand apni akal se daulatmand ban sakta hai ... magar daulatmand apni daulat se akalmand nahi ban sakta hai
Shatrughan Sinha
Gehre pani mein utarne ke baad ... doobne se ghabrana bekaar hai
Sudesh Berry
Yeh sachai ka bazaar hai ... yahan usool na beche jaate hai ... na khareede jaate hai
Vijayendra Ghatge
Jaane do isse ... is waqt yeh khudgarzi ke ghode pe savar, barbaadi ke toofan mein udhta hua chala ja raha hai ... aur aaise sawar ko waqt ke thappad aur zamaane ki thokar ke sivah koi nahin rok sakta hai
Kader Khan
Main pehle sirf kal hi ki soochta tha ... aur ab bahut door ki soochne laga hoon
Kiran Kumar
Jab beti badhi ho jaati hai ... toh maa ke seene ka bhoj badh jaata hai
Farida Jalal
Is duniya mein insaan do baar janam leta hai ... ek baar maa ki kok se pehda hokar ghar aata hai ... aur doosri baar ghar se nikalkar duniya mein jaata hai
Om Prakash
Aaj rishto ne mere haath baand diye ... varna kasam se tujhe khoon ke aasoon rulata
Akshay Kumar
Kutta bhi lakh bura ho ... wafaadari nahi chodta
Saeed Jaffrey
Duniya ko agar seedha rakhna ho ... toh ulta haath istamaal karna chahiye
Amitabh Bachchan
Aaj tak mujh mein sach kehne ki shakti nahi thi ... aur aaj tum mein sach sunne ki shakti nahi hai
Rajendra Kumar
Mujhe padna aata hai ... joh shabhdon mein likha hai woh bhi ... joh shabhdon mein nahi likha hai woh bhi
Shafi Inamdar
Har jooti yeh soochti hai ki woh pagdi ban sakti hai ... magar jooti ki kismat hai ki usse pairon tale raunda jaye ... aur pagdi ka haq hai ki usse sar par rakha jaye
Om Puri
Tum mere liye mar chuke ho
Unknown
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory