Tum aur hum kachre ke dher se uthne waali woh badbu hai ... jisko zamane ki naak kabhi seh nahi sakti ... aur kachra chahe kitna bhi saaf ho jaye usse badbu hi uthti hai
Sadashiv Amrapurkar
Kothe ki dehleez par aag hoti hai ... us par pair rakhte hi ladki ki izzat jal jaati hai ... aur woh izzatdar se tawaif ban jaati hai
Kader Khan
Beete dino ki yaad ka sahara toh tab liya jaata hai ... jab sirf yaadein hi reh gayi ho
Naseeruddin Shah
Ramp ka seedha rasta 35mm ke parde tak jaata hai
Unknown
Journalist mar sakta hai ... journalism nahi
Ayub Khan
Aankhon se ojhal hone ka dukh toh aadmi sehan kar sakta hai ... kyun ki us mein jeevan ki ek dhara behti rehti hai ... lekin jeevan jab mrityu ka roop dharan kar leta hai ... toh sari ashaon ka anth ho jaata hai
Rohini Hattangadi
Mitti jab jalti hai toh uska asar sirf fasal par hi nahi ... aane waali sari nasal par asar hota hai
Woh bank is duniya mein nahi bana joh pyar ki keemat ka cheque cash kara sake
Sonam
Pyar ki taqat mitti ko sona bana deti hai ... jisse duniya ki koi taqat mitta nahi sakti
Jis tarah ghoda dabakar bandook se goli bahar nikaal dete hai ... ussi tarah galati manane waale ke sar par haath pherkar hum purani baaton ko dil se nikaal dete hai
Pran
Birha ki aag mein jalte hue purush ki hridaya ki jwala ... updesh ke ghee se nahi bhujti ... usse prem, daya, mamta ke gangajal se hi shaant kiya ja sakta hai
Tofha dekar chup rehne waale mahan hote hai ... tofha lekar chup rehne waale baimaan hote hai
Aaj usse uski bhool yaad dilane ka samay aa gaya hai ... uski bhool ki keemat chukane ka samay aa gaya hai
Ketki Dave
Mere shareer ke hazar tukde bhi ho jaye na ... tab bhi tujhe us zameen ka tukda nahi milega
Anil Dhawan
Jawaani shuru hone se pehle hi armaan khatam ho jaye ... yeh achchi parwarish ki nahi, mehengi parwarish ki nishani hai
Kiran Kumar
Badi cheezon ki keemat kabhi choti nahi hua karti
Madhavan
Kuch kho dene ka darr aur kuch paane ki tamanna ... dono ko ek saath itni gehrai se kabhi mehsoos nahi kiya
Sanjay Suri
Aksar anjaano ke samne dil ka gubaar nikaal dena zyada aasaan hota hai
Tu apno ka nahi, tere desh ka hi gaddar nahi ... balki gaddaron ka bhi gaddar hai ... aur tujh jaise gaddar ko zinda rehne ka koi haq nahi hai
Tum toh un jaali noton se bhi zyada jaali nikle ... joh bazaar mein chalte hai
Karisma Kapoor
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory