Tum logon ko na chitta ki aag milegi ... na dharti maa ki godh
Bobby Deol
Har dukh aane waale sukh ki chitti hoti hai ... aur har nuksaan hone waale fayde ka ishara
Madhuri Dixit
Main yahan par surya ki roshni itni tezz kar doonga ... ki woh aadmi joh pachaas saalon se surya ko ghoorta aa raha hai ... us he bhi apni palkein jhukani hogi
Shahrukh Khan
Beti pati ke pallu se pallu bandhkar agni ke jitne phere leti hai ... baap ka haq utna hi gunah kam ho jaata hai ... aur pati ka haq utne hi gunah zyada
Raveena Tandon
Chaand ko apni chaandni sabit karne ke liye ... chiragon ki shahadat ki zaroorat nahi padhti
Pran
Saboot le aaiye ... le jaiye ... Raees hazir hai
Joh bachche apne maa baap ko pyar nahi de sakte, sahara nahi de sakte, maan samaan nahi de sakte ... unhe main kabhi maaf nahi karta
Amitabh Bachchan
Jaan dene se lakeerein mitt jaati hai ... aur zinda rehne se shayad lakeerein badal sakti hai
Sanjay Dutt
Jab kisi aur ki barbaadi apni jeet jaisi lage ... toh humse zyada barbaad aur koi nahi hai is duniya mein
Alia Bhatt
Desh se wafaadari kisi ek shaksh se gaddari se kahin zyada badhkar hoti hai
Randeep Hooda
Kisi insaan ka kadh janna ho, toh pata lagao ke uske dushman kaun hai ... jitna bada dushman, utna bada woh
Ashutosh Rana
Duniya ka aitbaar karen bhi toh kya kare ... aasoon bhi apni aankh ka apna na hua
Akshay Kumar
Mohabbat aur nafrat dono ke rang laal hai ... lekin fark yeh hai ki nafrat se duniya barbaad ho jaati hai ... aur mohabbat mein khud barbaad hona padta hai ... phir bhi kalank aksar mohabbat pe lagta hai
Giro saalo giro, lekin giro toh us jharne ki tarah ... joh parbat ki oonchai se girke bhi apni sundarta khone nahi deta ... zameen ke teh se milke bhi apni astitva ko narth nahi hone deta
Nana Patekar
Shaitan ki ek khasiyat hai ... apne hi janaze mein shamil hona uski fitrat hai ... nafrat uska hathyar, gussa uska barood ... humdardi usse aati nahi aur pyar koi usse karta nahi
Unknown
Hum toh kisi doosre ki dharti par nazar bhi nahi dalte ... lekin itne nalayak bachche bhi nahi hai ... ki koi hamari dharti maa par nazar daale aur hum chup chap dekhte rahe
Sunil Shetty
Badla jitna purana hota hai ... utna hi khatarnak hota hai
Saif Ali Khan
Main ek Hindustani hoon ... aur main jaanta hoon ki ek Hindustani ladki ki izzat kya hoti hai
Tum sabki nikalti jaan ke saath ... meri har chinta, sari stress bhi nikal jaati hai
Ritesh Deshmukh
Hoshyari, tarkieb aur dokha ... teeno mil jaaye toh log usse jadoo samajhte hai
Aamir Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory