Main toh laawaris tha, lekin mere marne ke baad meri laash laawaris nahi hogi
Nana Patekar
Mutthi mein band hai maut ka khel ... dekh raha hai tujhe aasmaan se sohail
Arshad Warsi
Maut ke aankhon mein aankhen daalkar baat karne waale ko hum veer kehte hai ... aur aisi veerta veeron ka gehna hoti hai
Gurmeet Ram Rahim Singh
Deva ki adalat mein sazaa jitni der se milti hai ... maut utni hi dardnak hoti hai
Mithun Chakraborty
Tera aakhri faisla meri adalat mein hone waala hai ... jahan ka vakil bhi main hoon, gawah bhi, judge bhi ... aur tujhe phasi dene waala jallad bhi
Ajay Devgan
Maut apni jagah aur waqt likhakar aati hai
Amrish Puri
Maut ko ek baar dhokha dene se ... zindagi lambi nahi ho jaati
Madan Puri
Teri maut meri mutthi mein qaid hai
Unknown
Meri tension ka ilaaj toh sirf tumhari khamoshi hai
Agar Lawrence aur Peter ko gussa aa gaya ... toh tumhara zindagi maut se baatein karne lagega
Goga Kapoor
Maut aankhon ke samne hoti hai na ... toh achchon achchon ki Gateway of India ho jaati hai
Sanjay Dutt
Maut roz toh nahi aati, sirf ek baar aati hai ... aur uska din aur samay bhagwan muqarar karta hai ... darwaaze pe cheekne waala dushman nahi
Sunny Deol
Subah hui aage jeevan hai, peeche maut ki parchai hai ... tezz dopheri yovan tapta maut kadamo par aayi hai ... saanj, safar aur umar ke dhalaan par anth ko samne paaya hai ... raat ki kaali syahi bikhri aakhri neend ne bulaya hai
Bharatiya naari ke jeevan mein talaak ya divorce nahi hota ... usse toh apne pati se sirf maut hi alag kar sakti hai ... divorce nahi
Jinki zindagi maut ki chaon mein guzri ho ... woh maut se kahan darte hai
Sunil Dutt
Doodh agar sookh bhi jaye toh koi marta hai kya ... lekin bade bhai ke khoon ke baad agar chote bhai ka khoon sookh jaye ... toh yeh maut se bhi bhattar hai
Aamir Khan
Maut ka koi waqt nahi hota hai
Aadmi zindagi aur maut dono se jhoot bol sakta hai ... lekin apni premika se nahi
Pran
Duniya mein sadaa rehne ko aata nahi koi ... tum jaise gaye aaise bhi jaata nahi koi ... kyun marke bhi honthon pe hassi khel rahi hai ... sab jaante hai aur batata nahi koi ... dil pehle hi darta tha ki jal jayega daaman ... daaman se amar deep bhujata nahi koi
Main aandhi hoon joh ek hi saans mein hawa ka rukh badal deti hai ... yehi aandhi tumhe tinke ki tarah udhake maut ke ghat tak pahuncha degi ... aur woh ghat itna sookha hoga ki marte waqt joh tum pani maangoge ... toh tumhe pani ki boond bhi naseeb nahi hogi
Shatrughan Sinha
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory