Kafan mein jeb nahi hoti, kabar mein safe nahi hoti aur maut ke farishtey rishwat nahi lete
Nana Patekar
Janam ka pata nau mahine pehle chal jaata hai ... magar marne ka pata nau second pehle bhi nahi chalta
Anil Kapoor
Begunah ko saza dena, begunah ko maut dena ... poori insaaniyat ko maut dena hai
Aishwarya Rai
Yaadein anth mein kiska haath pakadkar jaati hai maloom? ... maut ka
Aadmi ke dil aur maut ka koi bharosa nahi hai ... kab, kispar, kis waqt aa jaye time nikalke ... bata nahi sakta
Laxmikant Berde
Main paidahishi imaandar hoon ... baimaan ki maut marna mere liye beizzati hai
Ranjeet
Ek baar marna hamesha aasaan hota hai ... lekin woh kambakht cheez jisse zindagi kehte hai ... uske liye kadam kadam pe marna padta hai
Feroz Khan
Jiska dushman zinda hai, uski maut zinda hai ... jisne apne dushman ko maar diya, usne apni maut ko maar diya
Rahul Dev
Koi rishta pakka nahi hota ... maut aati hai toh pakke se pakka rishta bhi kachi maati ki tarah toot jaata hai
Shabana Azmi
Tumse itna pyar karoonga ki zindagi tumhare kadmon mein hogi ... aur maut tumhare liye bemaani ho jayegi
Farooq Shaikh
Jab baat apni maut ki aati hai na ... toh aadmi ke dimaag ki sari khidkiyan khul jaati hai
Prem Chopra
Zindagi aur maut aankh mein choli ka khel hai ... par Pritam Singh jab khele toh baki sab fail hai
Sanjay Dutt
Jaan hum tumhari aaisi bhikharan bana denge ... ki maut bhi uski jholi mein bheek nahi dalegi
Amitabh Bachchan
Main toh laawaris tha, lekin mere marne ke baad meri laash laawaris nahi hogi
Hamare jaise police officer ki maut par, desh ka jhanda jhuk jaata hai ... haan jis din teri maut kanoon ke haathon hogi, ek kutta bhi rone nahi aayega
Anupam Kher
Har subah yeh ek nayi maut marega
Tanuja
Jiske dil mein maut ka darr hota hai ... uske jism par yeh vardi nahin hoti
Mithun Chakraborty
Mutthi mein band hai maut ka khel ... dekh raha hai tujhe aasmaan se sohail
Arshad Warsi
Maut ke aankhon mein aankhen daalkar baat karne waale ko hum veer kehte hai ... aur aisi veerta veeron ka gehna hoti hai
Gurmeet Ram Rahim Singh
Insaaf bik raha hai, emaan bik raha hai ... bazar sa laga hai, samaan bik raha hai ... is Ram ki dharti par Ravan ka raj hai ... kanoon thak chuka hai, napunsak samaaj hai ... har modh par yahan toh insaan bik raha hai ... bazar sa laga hai, samaan bik raha hai ... noton ke naam par, kahin voton ke naam par ... tirthon ke naam par, kahin dharamon ke naam par ... lag rahi hai boliyan, bhagwan bik raha hai ... bazar sa laga hai, samaan bik raha hai ... manavta lut rahi hai, khamosh hai vidhata ... dharti par badte paapon ko mitaane ... janam kyun nahi leta koi mrityudaata
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory