Wahi jam jao, varna iski laash postmortem ke bhi layak nahi rahegi
Naseeruddin Shah
Hamare samne koi doosra pistol rakhe ... yeh hum mein pasand nahin
Danny Denzongpa
Uske bazuon mein itna dum hai ... ki uski maar ke liye na bana koi marham hai
Harsh Chhaya
Dhakad woh hai jiske haath mein bandook aake bandook phamous ho jaati hai ... jiske seene mein goli ghuske goli phamous ho jaati hai
Kay Kay Menon
Joh goliyan chalate hai woh gaaliyan nahi dete
Govinda
Jab mujhpar koi haath uthata hai toh mera sar phir jaata hai ... aur jab mera sar phir jaata hai toh main saamne waale ki duniya phira deta hoon
Sanjay Dutt
Main tujhe apne nange haathon se maaronga aur woh anjaam doonga ... ki marne se pehle tera dil phat jayega ... aankhen pathrane se pehle bahar nikal aayengi ... cheekte cheekte tere halak ki awaaz sookh jayegi
Shatrughan Sinha
Chote teer ghaav gambhir ... bahut chubte hai
Kamal Hassan
Mukka-laat ke baad joh mulaqat hoti hai ... badi pakki hoti hai
Chunky Pandey
Is revolver ki che ki che goliyan tere seene mein maut ki keel banakar tokh doonga
Aditya Pancholi
Film mein location hi location hai, situation hai hi nahi ... film mein star hi star hai, story hai hi nahi ... film mein action hi action hai, bomb hi bomb hai ... sex aur comedy kam hai
Rakesh Bedi
Hum ek aur ek gyarah hai ... aur us saale ko nau-do-gyarah karna hai
Vinod Khanna
Jaise daane daane pe khane waale ka naam likha hota hai na ... vaise hi goli goli pe bhi khane waale ka naam likha hota hai
Satish Kaushik
Jab Vicky ke panjon ki paanchon ungliyan judh jaati hai na ... toh usse kehte hai mukka, Vicky ka mukka ... aur jab yeh kisi ke jabre pe padta hai na ... toh aaisa lagta hai ki Kapil Dev ka fulltoss woh bhi bagair helmet ke
Tumne mere bhai ke jism se jitne khoon ke katre bahaye hai ... main tumhare jism ko cheerkar utne hi hisson mein baant doonga
Pankaj Dheer
Itna maroonga, itna maroonga ki gali gali bheek maangti phiregi teri mundi
Amrish Puri
Tum jaise namardo ko maarne ke liye ... meri maa ke paon ka ek kada hi kafi hai
Sunil Dutt
Police ki maar aur talwar ki dhaar se aaj tak koi nahi bacha
Kiran Kumar
Agar hum in kutton ke haath lag gaye ... toh yeh kutte hum mein kutte ki maut maar dalenge
Main Hind ki sherni hoon ... mera ek panja uth gaya toh tera ye haath tere dhad se alag ho jayega
Dimple Kapadia
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory