Rang aur roop toh bhagwan deta hai ... lekin uski hifazat karna apne haat mein hai
Jeevan ko janne ke liye ... usse pehle jeena hoga
Joh markar zinda hote hai ... unki zindagi haramzadi ho jaati hai ... joh na aasani se marti hai aur na hi kisiko aasan maut maarti hai
Aye chup chup ... varna aaisi aaisi gaaliya doonga censor board bhi pareshan ho jayega ... kaunsi bhichayein kaunsi audhe
Naseeb insaan ka banta hai thokarein khane ke baad ... aur rang lati hai henna patthar pe pis jaane ke baad
Jaan hum tumhari aaisi bhikharan bana denge ... ki maut bhi uski jholi mein bheek nahi dalegi
Beta jab jawan ho jaata hai toh woh apne baap ke swabhiman ko ... abhiman samajhne lagta hai
Ek kamyab businessman wahi hota hai ... jis mein faisla lene ki ek shamta ho
Surya purab ke bajaye paschim se nikal sakta hai ... reghistaan mein phool khil sakte hai lekin woh ... kabhi nahi hoga joh tum chahte ho, understand!
Har insaan ki zindagi mein kam se kam ek mauka aisa milta hai jab woh apni kamzoriyo, apni qabiliyat aur apni fitrat se upar uth sakta hai ... apni pechaan badal sakta hai ... apne aap se behtar ban sakta hai
Aandhi aaye ki toofan koi gham nahi ... hai yahi aakhri imtihaan saathiyon
Manushya ko makhan mein baal ki tarah, samudra mein jaal ki tarah aur yudh mein dhaal ki tarah rehna chahiye
Pyar ka mazaa saath marne mein nahi ... saath jeene mein hai
Paise se Mercedes khareedi ja sakti hai, makaan khareeda ja sakta hai, nursing home khareeda ja sakta hai ... zindagi ka har ek aaram khareeda ja sakta hai ... lekin dil nahi khareeda ja sakta hai
Jis din gareeb baghavat par utarta hai ... toh dhanwan toh kya usse bhagwan bhi nahi rok sakta
Sirf saansein lene ko jeena nahi kehte
Sach ka nakaab pehne huye kuch namumkin kisse ... aahista aahista wakehi sach ban jaate hai
Aadmi Himalaya ki choti se girke uth sakta hai ... lekin ek baar khud apni nazron se gir jaye toh phir woh girta hi chala jaata hai
Is desh mein sabse bada gunaah, sabse bada apradh ... gareebi hai
Saanp ki aulad ko kitna bhi dhood pilao ... aasteen ka saanp hi rehta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory