Insaaf bik raha hai, emaan bik raha hai ... bazar sa laga hai, samaan bik raha hai ... is Ram ki dharti par Ravan ka raj hai ... kanoon thak chuka hai, napunsak samaaj hai ... har modh par yahan toh insaan bik raha hai ... bazar sa laga hai, samaan bik raha hai ... noton ke naam par, kahin voton ke naam par ... tirthon ke naam par, kahin dharamon ke naam par ... lag rahi hai boliyan, bhagwan bik raha hai ... bazar sa laga hai, samaan bik raha hai ... manavta lut rahi hai, khamosh hai vidhata ... dharti par badte paapon ko mitaane ... janam kyun nahi leta koi mrityudaata
Is desh ki sabse badi problem population nahi, bhrashtachar nahi, gareebi nahi ... is desh ki sabse badi problem hai baatein
Muddha yeh nahi hai ki main jeeton ya haaron ... muddha yeh bhi nahi hai ki main jeeyon ya maar diya jaon ... muddha yeh hai ki ek police officer hone ke naathe mera joh farz hai ... usse mein imaandari se nibha raha hoon ya nahi ... ek insaan hone ne naathe satya ke liye, satya ki vijay ke liye main ladh raha hoon ya nahi
Maut ka sadma toh insaan bardasht kar leta hai ... lekin jab koi apna kho jaata hai toh usse paane ki tadap ko bardasht nahi kar paata
Yeh kambakht mohabbat hai hi badi musibat waali cheez ... aksar imtehaan leti hai ... lekin khushiyan bhi deti hai
Mohabbat ki maar ka bada meetha meetha dard hota hai
Kahi baar hamare ussool zindagi se bade ho jaate hai
Doctor bimaari se ladta hai ... bimaari uski dushman hai
Jeet toh uss hi ki hoti hai ... joh aakhri baazi jeete
Tum bhool gaye ki ninyaanve ki sankhya par ek aaisa saanp behta hai ... jiske kaatne se khiladi itne neeche gir jaata hai ... ke phir uske pass wapas upar uthne ki koi gunjaish nahi rehti
Duniya ko agar seedha rakhna ho ... toh ulta haath istamaal karna chahiye
Naukar kitna hi bada kyun na ho jaye ... uska sar ... maalik ke jooton se upar nahi uth sakta
Hamare liye toh har maa apni maa hoti hai
Tumhari territory sirf char foot ki hai, joh is shehar se shuru ho karke issi shehar mein dum todh deti hai ... lekin hum army waalon ki territory Himalaya ki bulandi se shuru hokar Ganga sagar ki kok tak jati hai
Kisi bhi desh ki suraksha bandookon aur topon se nahi ki jati ... aur nahi atom bomb aur machine gunon se jung jeeti jati hai ... jung jeetta hai insaan mazbood iraadon se
Galatiyan sabse hoti hai, mujhse bhi hoti hai ... lekin galatiyon ko na maanna aapka character darshata hai
Apne shabd aur samay ko bahut hi soch samajhkar karchiyega ... yeh dobara lautkar nahi aate
Insaaf kagaz ke tukdon par nahi hota hai ... aapke kitaabon mein nahi hota hai ... adalati kalam ki siyahi se woh nahi hota hai ... insaaf hota hai insaano ke dil par, unke zehan par, unki rooh par
Jis tarah ladki ka thopda bighad jaane se usse dulha nahi milta na ... ussi tarah gadi ka thopda bighad jaane se usse savari nahi milti
Aadmi budha tab hota hai ... jab uske andhar jeene ki ichcha khatam ho jaati hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory