Jab tak tum jaise log is desh mein zinda hai ... tab tak sach bolne waalon ka dum ghutta rahega, hinsa ka gala dabta rahega ... lekin mere jeete jee main yeh nahi hone doonga ... main tum logon ke haath kaat daalonga aur gala ghoot doonga
Rajinikanth
Jeet inki nahi hogi, jeet janta ki hogi ... jeet is jhoot ki nahi hogi, jeet sachai ki hogi ... jeet in khooniyon ki nahi hogi, jeet hum begunahon ke khoon ki hogi
Dilip Kumar
Paisa imaandari ke saath bhi kamaya ja sakta hai ... magar sirf itna ... agar pet bhar gaya toh badan kapdon se khali rahega ... aur agar kapdon se badan ko dhank liya toh bhook se pet khali
Paresh Rawal
Sachchai ke liye koi bhi cheez chhodi ja sakti hai ... magar kisi bhi cheez ke liye sachchai ko chhoda nahi ja sakta
Govinda
Raat mein soote hue joh sapne aate hai, woh sache nahi hote ... lekin din mein jaagte hue joh sapne dekhe jaate hai, woh hamesha sache hote hai ... kyun ki unka doosra naam hai irrada
Manoj Kumar
Na ched ab mujhko, rehne de yahin tak dastan meri ... kahunga sach toh jal jayega dil tera, zabaan meri
Sohrab Modi
Sach woh ujala hai joh subah hone se pehle hi dikhne lagta hai
Rajeev Khandelwal
Jhoot ki umar bahut kam hoti hai ... jhoot jiye char din aur sach jiye hazaar din
Kader Khan
Vishvas vaade ke daldal ki zameen par khadi dhue ki woh deewar hai ... jispe na toh koi insaan reh sakta hai aur naa hi koi sachai ki keel thok sakta hai
Main jhoot bolkar bhi pachtai ... aur sach bolkar bhi pachtati rahoongi
Asha Parekh
Muddha yeh nahi hai ki main jeeton ya haaron ... muddha yeh bhi nahi hai ki main jeeyon ya maar diya jaon ... muddha yeh hai ki ek police officer hone ke naathe mera joh farz hai ... usse mein imaandari se nibha raha hoon ya nahi ... ek insaan hone ne naathe satya ke liye, satya ki vijay ke liye main ladh raha hoon ya nahi
Amitabh Bachchan
Kabhi kabhi apne heere ki pehchan nahi hoti ... keh dete hum toh yunhi kuch bhi ladakpan mein ... magar sach yeh hai ki ... aap nahi hote toh jaan nahi hoti
Sushmita Mukherjee
Beeta hua kal toh ek khwab hai ... uska na koi chehra hota hai na wajood hota hai ... sach toh sirf tumhara aaj hai aur tumhara aane waala kal
Sharat Saxena
Sharifon ki aulad hamesha sharif hoti hai ... aur chor daaku ki aulad hamesha chor daaku hoti hai
Unknown
Joh nazar aata hai ... woh hamesha sach nahi hota
Fardeen Khan
Baimaani, kala bazaari, rishwatkhor log lakh gaaliyan sunkar bhi aasani se is duniya mein jee lete hai ... magar joh log sachche hote hai na ... woh jhoote ilzaam ka ek shabd bhi nahi sun sakte hai
Anil Kapoor
Aapne yeh toh suna hoga ki ghee tedhi ungli se nikalta hai ... magar shayad yeh nahi suna ki sach bandh mukke se nikalta hai
Salman Khan
Kisi bhi cheez ko khud apne aankhon se na dekhne ka sabse bada khatra yahi hota hai ... ke dil aur dimaag usse sach maan leta hai
Yeh sachai ka bazaar hai ... yahan usool na beche jaate hai ... na khareede jaate hai
Vijayendra Ghatge
Aaj tak mujh mein sach kehne ki shakti nahi thi ... aur aaj tum mein sach sunne ki shakti nahi hai
Rajendra Kumar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory