Satya hamesha nagn hai ... usse kehne mein koi sharam nahi honi chahiye
Akshay Kumar
Loyalty, wafa, bahut kamaal ki cheez hai ... lekin karo toh wafadaron ke saath ... gadaaron ke saath nahi
Salman Khan
Imaandari ke award mein sabse zyada baimaani hoti hai
Rajkummar Rao
Yeh dekhne mein shareef hai lekin sharafat bhi pani bharti hai inke aage
Zakir Hussain
Phool murjhane se bhi kaante nahi ho jaate ... us hi tarah sach ke haar jaane se woh jhooth nahi ban jaate
Suresh Oberoi
Jis jhoot se kisi ko faida ho ... woh jhoot, jhoot nahi sach hota hai
Sushmita Sen
Jab zindagi aapke samne saare darwaze bandh kar deti hai na ... tab sharafat aur gundagiri mein zyada kuch farak nahi reh jaata
Akshaye Khanna
Jeeti hui baazi haari nahi jaati ... imaan ke taange par koi sawari nahi aati
Chunky Pandey
Kabhi kabhi sach ko bhi apna wajood sabit karne ke liye khud se hi ladai ladni padti hai
Sara Loren
Joh log baimaani ke bazaar mein khud kaudiyon ke daam bikke ho na ... woh doosron ki wafaadari ki keemat nahi lagate
Govinda
Muddha yeh nahi hai ki main jeeton ya haaron ... muddha yeh bhi nahi hai ki main jeeyon ya maar diya jaon ... muddha yeh hai ki ek police officer hone ke naathe mera joh farz hai ... usse mein imaandari se nibha raha hoon ya nahi ... ek insaan hone ne naathe satya ke liye, satya ki vijay ke liye main ladh raha hoon ya nahi
Amitabh Bachchan
Today corruption is a part of our lives ... an honest man is a liability
Sanjay Dutt
Imaandari se zyada zaroori hai dukaandari
Anil Kapoor
Joh log sachchai ki tarafdari ki kasam khate hain ... zindagi unke bade kathin imtihaan leti hai
Dilip Kumar
Rajneeti mein kuch sach nahi hota ... yehi iska sach hai
Mithun Chakraborty
Dekh is panje ko ... desh bhakti, wafaadari, khuddari, sachai aur mardaangi ka yeh panja agar bhoole se tere thopde par pada na ... toh teri bateesi bahar nikal jayegi
Jahan satya hai wahan dharm hai ... aur jahan dharm hai wahan dhan hai
Evidence se badkar aur ek cheez hai ... truth
Unknown
Sach aur sachai mein farak hota hai ... aur sach yeh hai ki har police waale ka dharam hai ki woh niswarth bhav se desh ki seva kare ... lekin sachai yeh hai ki 8,500 ki is tankha mein desh sambhalo, ghar sambhalo, imaan sambhalo
Pavan Malhotra
Agar akele choot jao aur satya tumhare saath hai ... toh aage badne se mat darna
Sachin Khedekar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory