Ravan bola main bada main bada main bada ... Navagraha mere singhasan ke neeche pada ... bakht bola tu kaika bada ... tu toh che mahina Bali ki kankh mein pada
Govinda
Shahenshahon ke taqt aam aadmi ke kandhon pe hi khade hote hai
Emraan Hashmi
Badshahon ka andaza bahut kam galat hota hai ... aur jab galat hota hai toh woh badshah nahi rehte
Prem Chopra
Tumhari baadshah banne ki khwaish hai aaisi albeli ... jaise raja bhoj banne koi gangu teli
Amitabh Bachchan
I'm just a girl ... but with you I feel like a princess
Priyanka Chopra
Talwar ke zor par takht cheenne waale ko ... baaghi kaha ja sakta hai, shahenshah nahi
Manisha Koirala
Aao doston tumhe sunao ek aaisi kahani ... joh karde anhoni ko honi ... jis mein raja ko milti hai rani ... aur budhe ko apni jawani
Vivek Oberoi
Na takht hai na taj hai, dilon pe jiska raj hai ... zameen pe jiske paon, aasman pe nigah hai ... yeh sabka ladla hai, yeh Lal Baadshah hai
I am a king without a kingdom
Rami Reddy
Sar ka taj tedha ho ... toh rani, rani nahin kaani lagti hai
Ishrat Ali
Aye khaak nasheeno uth baitho, woh waqt kareeb aa pahuncha hai ... jab takht giraye jayenge, jab taj uchaale jayenge
Shreyas Talpade
Raja ki ek rani thi, yeh kahani toh suni thi ... deewane ki ek deewani hai, yeh aaj ki kahani hai
Ajay Devgan
Ekka bhale hi sabse bada ho ... magar rani hamesha raja ki hoti hai
Ashwini Bhave
Raja ki puja sirf uske desh mein hoti hai ... aur vidhvan ki puja puri duniya mein hoti hai
Rajesh Khanna
Yeh jail ki salakhein hum mein qaid kar sakti hai ... hamari badshahat ko nahi
Ashutosh Rana
Shahi talwarein mohabbat ki gardan par chalti rahi hai ... lekin mohabbat ka naam hamesha roshan hota raha hai
Raaj Kumar
Jab jab hota hai zulmon ka haadsa ... tab tab janam leta hai Lal Baadshah
Unknown
Yeh badshah sang-e-mar-mar ka maqbara nahi ... tumhare patthar dil mein apne pyar ka Taj banwayega
Harshvardhan Rane
Mulkon ko fatah karne se pehle ... badshahon ko apne dil fatah karne padte hai
Hukumaten khandano se nahi usoolon se chalti hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory