Ek raja ka dharam sirf shatru ko maarna hi nahi hota ... praja ko bachana bhi hota hai
Ramya Krishnan
Aisa kabhi socha na tha yeh anjaam hoga ... ek waqt ka badshah aaj ghulam hoga
Ritesh Deshmukh
Asal king woh hota hai ... joh apne liye nahin doosron ke liye lade
Akshay Kumar
Aaj raja ka beta raja nahi banega ... raja wohi banega joh haqdaar hoga
Hrithik Roshan
Meri aankhon se mere khwab na cheeniye Shehzaade ... main marr jaongi
Madhubala
Hamara Hindustan koi tumhara dil nahi ... ki laundi jiski Malika bane
Durga Khote
Sultan ban'ne ke liye gardan aur iraade dono mazboot hone chahiye
Ranveer Singh
Surya kirano ke bina, khushboo hawa ke bina aur raja pradhaan ke bina adhoora hai
Mahesh Manjrekar
Bread ka baadshah aur omelet ka raja ... Bajaj ... hamara Bajaj
Paresh Rawal
Ab yeh bhi koi kahani hai ... chalo kahani badlate hai ... raja badalte hai ... rani badalte hai ... pyar ka andaz badlate hai ... kal joh adhoora tha aaj badalte hai ... phir sadiyon tak log kahenge ... ek tha raja, ek thi rani, dono mare gaye khatam kahani
Unknown
Ek hi saf mein khade ho gaye mahmood-o-ayaz ... na koi banda raha aur na koi banda-nawaz
Taj un saron par nahin rehta jinke kareeb khauf aa jaye
Bina badshah ki izazat jab awam khushiyan manati hai ... bagawat ki pehli nishani wohi hoti hai
Maharaja woh nahi hota jiske sar par taj aur pairon ke neeche makhmal ho ... maharaja woh hota hai jiske dil mein apno ke liye pyar aur baazuon mein unki raksha karne ki taqat ho
Govinda
Main fauladi shaitan ki madad se sultan toh kya ... sari duniya par fateh hasil kar sakta hoon ... shaitan zindabad, shaitan zindabad
Amrish Puri
Yeh ghulami ka patta gale se nikaal kar phek do ... aur Hindustan ke badshahat ka taj peheno
Mohan Joshi
Wahi taj hai, wahi takht hai, wahi zehar hai, wahi jaam hai ... yeh wahi khuda ki zameen hai, yeh wahi bhuton ka nizam hai ... bade shauk se mera ghar jalaa, koi aanch tujhpar na aayegi ... yeh zabaan kisi ne khareed li, yeh kalam kisi ka ghulam hai
Vijay Raaz
Ravan bola main bada main bada main bada ... Navagraha mere singhasan ke neeche pada ... bakht bola tu kaika bada ... tu toh che mahina Bali ki kankh mein pada
Aye ujhdi hui riyasat ke rajkumar
Satish Kaushik
Padhoge likhoge toh hoge kharab ... kheloge koodoge toh banoge nawab
Laxmikant Berde
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory